google-site-verification: google810058f5829fdccf.html Super fast now : Smartphone Ko Root Karne Ke Fayde Aur Nuksan?

Monday, 10 July 2017

Smartphone Ko Root Karne Ke Fayde Aur Nuksan?

Hy dosto Mera nam Shubham hain aur aapme se bahut aise hoge jinhe smartphone rooting ke bare me pata nahi hoga, mujhe bhi shuru me phone rooting ke bare pata nahi tha par ab mai iske bare itna jaan gya hu iske upar ek book likh sakta hai. aaj ish tutorial me mai aapko smartphone ko root kaise kare aur root kya hai uske bare batuga saath hi iske fayde aur nuksaan ke nare bhi discuss karenge.
android smartphone ko root kaise karte hai

Smartphone Ko Root Karne Ke Fayde Aur Nuksan?

Phone root karne se pahle aapko iske bare samjhna hoga aur ye janna hoga ki phone root hai kya, sabse pahle mai aapko iske fayde aur nuksaan ke bare bataunga aap ise jarur padhe aur pura samjhne ke baad hi phone ko root kare


Advantage Of Rooted Phone
Fully Controlled By You – smartphone ko root karne ke baad aap uske android os ko apne hisab se fully customize kar sakte hai aur saath hi iske interface ko puri tarah se badal sakte hai basrte aapko thodi bahut developer coding aani chaiye.
Non Removable Apps – Pahle se pre – installed app ko aap aasani se uninstall kar sakenge, jab aap new phone lete hai to usme pahle se hi kai useless apps pre – installed rahte hai jiski aapko jarurat bhi nahi hoti aur bas wo space cover karne ka kaam karti hai root ki madad se aap aise apps ko uninstall kar sakte hai aur internal memory ko increase kar sakte hai.
Ads – Free Phone – Har ek phone me ads ke show karne ke liye ek Alarm control app pre – installed hota hai jise aap chah kar bhi unistall ya block nahi kar sakte aur jab aap internet open karte hai to isi alarm ki wajah se baahiyat type ke ads show hone lagte hai , agar aapka phone rooted hai to aap sari ads ko block kar sakte hai.
Boost Your Phone – Root ki madad se aap phone ke Ram ( random access memory ) ko badha sakte hai aur phone ke processor ko increase kar sakte hai
Disadvantage Of Rooted Phone 
Performance – smartphone ko root karne se phone ke performance me bahut asar padta hai agar aap mobile ko sahi se root nahi karte hai to aapke phone ki speed kafi kam ho jayegi aur bahut jald hang hogi, agar aapke phone me 1 gb aur above ram hai tab hi aap phone ko root karne ki soche.
Warranty – Phone rooting me warranty sabse aham hoti hai isliye phone ko root karne se pahle iski warranty dekh le, jab aap phone ko root karte hai aap phone ka warranty bhi kho dete hai aur aisa isliye hota hai kyuki phone ki warranty aapko security ki di jati hai aur root security ko todta hai , waise ye warranty wali problem bade company me hota hai jaise – LG, HTC, SONY, MOTOROLA, SAMSUNG.
Agar aapko uper diye nuksan se koi farak nahi padta to aap aram se phone ko root kar sakte hai chaliye ab jante hai ki ye root hota kya hai, phone ko rooting ki jarurat kyu padti hai.

Smartphone Rooting Kya Hai?

phone ko root karne se pahle aapko iske bare janna bahut jaruri hai, aapne kabhi notice kiye hoge to aapko pata hoga ki kai sare apps ko phone me install kar run karaane ke liye phone rooting ki jarurat padti hai , Agar aap apne android ke old version ko use kar thak chuke hai to aap rooting ki madad se isme new operating system daal sakte hai aur apne hisab se customize bhi kar sakte hai lekin aap ye tab kar payenge jab apka apne phone me full control hota hai aur wo aapka root karne ke baad hi hoga.

Android Smartphone Ko Kingroot App Ki Madad Se Kaise Root Karte Hai?

Dosto phone ko root karne ka sabse asaan method hai ki aap rooting app ki madad le, mai aaj aapko kingroot ka rooting app ki help se phone ko root karna sikhaunga jise follow kar aap aasani se bina pc ko use kiye smartphone ko root aur unroot kar sakte hai.
Step 1. Sabse pahle phone me Kingroot Appdownload kariye.
Step 2. Ab install karne ke baad kingroot app ko open kariye.
Step 3. App open karne ke bad Get now me click kariye.
hinditechhelp
Step 4. Get now Tap karte hi rooting process start ho jayega aur 100 % complete hote hi phone reboot hoga,
Itna hote hi aap root access kar payenge.
Note :- Agar aap phone ko unroot karna chahte hai to kingroot application ko uninstall nahi kare, aisa karne se phone unroot nahi hota balki phone root hi rahta hai ise unroot karne ka sabse asaan tarika hai aap kinmgroot app >> General setting me right side jakar uninstall kingroot select kare.
hindi tech help
Ye smartphone ko root aur unroot karne ka sabse asaan tarika hai agar aap phone ko root karne ka soch rahe to mai aapko kingroot app hi suggest karuga.


Ummid hai dosto aapko ye post achhi lagi hogi agar aapko ish post se related kuch sawal puchna hai to wo aap hame comment me puch sakte hai, agar aapko ish post se madad mili hai to ise apne social media aur dosto ke saath jarur share kariye.

No comments:

Post a Comment

Featured Post

6 best tarika Facebook ke hack karne ke 2017

Y e to sabhi log jante aur samjhte hi honge ki facebook kitna popular ho chuka hai ,facebook ne college students even other people ke l...