google-site-verification: google810058f5829fdccf.html Super fast now : Mobile Balance Transfer Kya hai? Mobile balance transfer karne me kitna charges lagta hai?

Monday, 10 July 2017

Mobile Balance Transfer Kya hai? Mobile balance transfer karne me kitna charges lagta hai?

Indian Mobile Operators me Main Balance Kaise Transfer karte hai. Kisi other ka mobile balance chori karna ya emergency me kisi aur balance use karne liye talktime transfer kar sakte hai. Agar apke kisi friend ka balance khatam ho gaya hai. Aur aap use apna balance send karna chahte hai to kar sakte hai. Yadi apke mobile me balance nahi hai to ap apne friend se talktime udhar le sakte hai. Mobile balance chori karne ka tarika bahut easy hai.
Yaha mai batane wala hu kaise  Airtel, Idea, Docomo, Vodafone, Uninor me balance transfer kiya jata hai. Isse pahle maine Talk Time Loan Kaise Lete hai – Aircel, Airtel, BSNL, Vodafone, Idea, Reliance ke bare me bataya tha. Isse related ek aur article hai Ek Mobile SIM Se Dusre Mobile Me Internet Data Share or Transfer Kaise Karte Hai read kar sakte hai.
Lekin iss article me sirf main balance transfer trick bataya gaya hai. Main balance transfer karne ke liye uska number pata hona chahye jisko aap paise send kar sakte hai. Agar number pata nahi hai toKisi Bhi Mobile Operators Ka Number USSD Code Se Kaise Pata Lagaye article read kare.

Mobile Balance Transfer Kya hai? Mobile balance transfer karne me kitna charges lagta hai?

Jaisa ki “mobile transfer” word se hi pata chalta hai ki iska matlab kya hoga. Ye aisa method hai jisme hum apna mobile balance kisi aur use karne ke liye send kar sakte hai. Ya phir kisi aur mobile balance khud ke number par receive kar sakte hai. Lekin balance bhejne aur lene wale dono ka mobile operator bhi same hona chahye.


Aur agar aap talktime transfer karenge to service charge dena parega. Chinta karne ki baat nahi hai ye bahut small amount hota hai. Kuch logo ne mujse email par pucha hai ki balance transfer karne me kitna time lagta hai? Mai apko bata du ki iss process me sirf 1 minute ka time lagega. 1 Minute me kisi ko bhi balance send aur receive kar sakte hai.

Main Balance Kaise Transfer Karte Hai

Airtel Balance Transfer Kaise Kare

1. Dial kare *141#.
2. Ab ek menu option apke phone ke screen pe ayega, jisme apko  Share Talk Time select karna hai, Isye select karne ke liye apko 1 press karna hoga.
3. Jitna balance apko transfer karna hai wo amount type kare,Phir mobile number type kare.
4. Apka balance transfer ho chuka hai.
Note: Aap Rs5 –  Rs 30 tak balance transfer kar sakte hai, Balance transfer ke liye apke Airtel SIM me Rs 10 minimum balance bhi hona chahye. Aap ek din me sirf 5 bar balance transfer kar sakte hai or month me sirf 30 times. Aap ek month sirf 10 unique number pe balance transfer kar sakte hai.

Aircel Balance Transfer Trick

1. Apne Mobile me *122*666# dial kare.
2. Ab menu option ayega, jaha pe aap sirf Rs 5 se Rs 100 tak balance transfer kar sakte hai.
Note: Ek transaction pe apko Rs 2 charge lagega. Ek din me sirf ek number pe balance transfer kar sakte hai. Apka Aircel SIM 90 days purana hona chahye or jis Aircel Number pe aap balance transfer kar rahe hai uska number bhi 30 days purana hona chahye.

Vodafone me Balance Kaise Transfer karte hai

Agar apke pas vodafone sim hai or aap kisi vodafone user ke number pe balance transfer karna chahte hai toh *131*<Amount>*<Receiver’s Mobile Number># dial kare. Amount ke jagah pe jitna amount aap send karna chahte hai wo type kare. Receiver Mobile Number ki jagah apne friend ya jiske number pe aap balance transfer karna chahte hai uska vodafone number type kare.
Ex- Agar aap Rs 30 is number(9876543210) pe transfer karna chahte hai dial kare *131*30*9876543210#
Note: Vodafone user sirf Rs. 5/- se Rs. 30/- tak ka balance transfer kar sakte hai. Same number pe ek din me sirf ek bar balance transfer ho sakta hai.

Idea Mobile me main balance kaise transfer karte hai

Idea se idea balance transfer karne ke liye steps follow kare:
  • Sabse pahle apne mobile ke dial pad open kare.
  • Phir *151*mobile number*amount# dial kare.
Example –  *151*987654321*20# type karke55567 pe send karde.
Note : Idea Users Rs. 5/- se Rs. 100/- tak balance transfer kar sakta hai. Ek din me sirf 3 times hi balance transfer or receive kiya jata hai. Same number pe sirf ek bar balance transfer hoga. Balance jisne send kiya hai uska Idea Number 90 days purana hona chahye or receiver ka number bhi 30 days purana hona jaruri hai.

BSNL Balance Transfer

BSNL me balance transfer karne ke liye apko message box open karna hoga, phir create message me jake Gift<SPACE><Receiver’s Number><SPACE><Amount> type kare or 53733 or 53738 pe sms send karde.
Example –  Rs. 20/- transfer karne ke liye Gift 9876543210 20 type kare or 53733 ya 53738 pe send kare.
Note: Rs. 5/- se Rs. 50/- tak balance transfer kiya ja sakta hai. Balance Send karne wala BSNL number 90 days purana hona chahye or Balance receive karne wale ka number  30 days purana hona jaruri hai.

Reliance to Reliance Me Balance Transfer kaise karte hai

1. Dial kare *312*3#, Ab jisko aap balance transfer karna chahte hai uska number type kare.
2. Ab balance amount type kare.
3. Phir PIN type kare. Default PIN 1 hota hai. Balance Transfer ho chuka hai.

Tata Docomo Balance Transfer

Tata Docomo me balance transfer karne ke liye apko 54321 pe SMS karna hai BT<SPACE>Mobile Number<SPACE>Amount
Example –  BT 9876543210 25 type karke 54321 pe sms send kare.
Note: Balance Receiver ka docomo sim 30 days purana or Balance Sender ka docomo sim 90 days purana hona chahye. Rs 5/- se Rs 50/- tak ka balance transfer kar sakte hai.

Telenor (uninor)  Balance kaise transfer kare

Idea, Vodafone ki tarah Uninor bhi USSD codes se main balance transfer karne ki features deti hai. Apko sirf apne mobile ke dial pad pe *202*<Mobile Number>*<Amount># type karna hai.
Example –  Rs. 30/- transfer karne ke liye2029876543210*30# dial kare.
Note: Rs. 5 se Rs. 50 tak balance transfer kar sakte hai. Ek bar main balance transfer karne me Rs. 2/- charges lagega.
Kisi ka mobile balance chori karne ka tarika aap jan gaye hai. Ab aap easily mobile balance chori kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Featured Post

6 best tarika Facebook ke hack karne ke 2017

Y e to sabhi log jante aur samjhte hi honge ki facebook kitna popular ho chuka hai ,facebook ne college students even other people ke l...