google-site-verification: google810058f5829fdccf.html Super fast now : Earn money online
Showing posts with label Earn money online. Show all posts
Showing posts with label Earn money online. Show all posts

Sunday, 9 July 2017

Google Adsense Kya Hai? Aur Google Adsense Se $500-$600 Per Month Kaise Kamaye


Google Adsense Kya Hai? Aur Google Adsense Se $500-$600 Per Month Kaise Kamaye


Namaskar dosto Mera name Shubham Aur aaj Hum baat krege dollar kaise kamaye Agar aap india se belong karte hai aur aap internet se paise kamane ke bare me soch rahe hai to google adsense aapko internet se paise kamane me bahut madad kar sakta hai. Jab hum internet par kuch bhi search krke janane ki kosish karte hai to waha par bahut sari website ka result ata hai. Aapne kabhi ye socha hai ki aakhir un sabhi website ka income kaha se aur kon deta hai. Internet par bahut sare website aur blog hai aur jyadatar website aur blog ke income ka main source google adsense hi hai. jab koi naya internet user google adsense ka naam sunta hai To woh sochta hai ki akhir ye google adsense kya hai aur ye kaha par aur kaise kaam karta hai. Uske bare me mai aapko aaj batoga ki akhir ye google adsense hai kya.

Yadi aap ek blogger aur aap janana cahte hai ki akhir log blog se paisa kaise kamate hai to aap sahi jagah par hai. Bahut sare aise bloggers hai jo apne blog par google adsense ka ads laga kar har mahine lakho rupay kamate hai. Google adsense Google ka ek aisa program hai jo pahle aapke blog ke condition ke hisab se aapke blog ko approvel deta hai.

Jab ek baar aapka blog google adsense se approved ho jata hai to uske baad aap google adsense ka ads apne blog par laga kar acche paise kama sakte hai. Yadi aapke pass ek blog hai aur aapke blog par badiya traffic aata hai to aapke blog se paisa kamane ke liye google adsense ke badiya madhyaam ho sakta hai.

Blog free me banta hai, Agar apke paas blog nahi hai to aap niche diye link se ghante me apna blog bana sakte hai.

Free Me Apna blog Kaise Banaye

Google Adsense Kya Hai-
Google Adsense ek CPC(cost per click) program hai. Google adsense ko google ne 18june 2003 ko launched kiya tha. Ye ek free aur Aasan tarika hai paise kamane ke liye. Google adsense blogger aur webmaster ko ye allow karta hai ki woh apne blog google adsense se approved kara kar uska ads apne blog aur website par laga kar paise kama sakte hai. jab koi internet user aapke ads par click karta hai to uss user ke country ke hisab se aapki earning hoti hai.

Google adsense ek free program hai aur ispar koi bhi apna acount bana sakta hai. Lekin google adsense par apna acount banane ke liye aapke pass ek badiya blog ka hona jaruri hai.

Iske sath sath aapke blog par 15-20 badiye quality ka post ka bhi hona jaruri hai Aur aapka post kahi se copy naa kiya gaya ho. Aapke blog par daily kuch badiya traffic bhi ana chahiye. ye sab chize jab aapke blog par hogi tabhi aapka blog google adsense se approved krega..

Agar apka blog Achha chal raha hai to to aap Google Adsense ke liye apply karne ke liye niche link pe click kare.

Apply for Adsense

Blog ke Dwara Google Adsense Se $500 Per Month Kaise Kamaye-
1- Blog Ka Badiya Niche (Topic) Chune-
Google Adsense se acchi income karne ke liye aapke blog ka Niche (Topic) bhi badiya hona cahiye. Jab hum kisi bhi blog ka topic adsense ko dhyaan me rakh kar chunte hai to humko iss baat ka dhyaan rakhna cahiye ki hum wahi Niche (Topic) chune jisme prayog hone wale keyword ki CPC Jyada se jyada ho.

Aapke dwara Prayog kiye jane wale keyword ki CPC jitni badiya hogi utni hi acchi aapki adsense se earning hogi. Tutorial, Technology, News information etc. in sabhi Niche (Topic) ke kayword ki CPC badiya hoti hai. Is liye Koi bhi blog banane se pahle apne blog ke Niche (Topic) ke bare me acchi tarah se research kar le. aur wahi Niche (Topic) chune jiski cpc badiya se badiya ho.

Agar aap aisa karte hai to bahut hi kam time me aap google adsense se per month $500-$600 kama sakte hai.

2- Blog Me Adsense Optimized Theme/Templete Ka paryog kare-
kisi bhi blog ka Desgin uski earning par bahut fark dalta hai. Jyadatar bloggers apna blog blogger ya phir wordpress par banate hai. Isliye adsense se acchi income ke liye humko Adsense Optimized Theme/templete Ka paryog karna bahut jaruri hai.

Agar hmara theme/templete Adsense Optimized nahi hoga to uska accha khasha fark hm







7- Google Adsense ki Perfect Ads Size Aur Location Select kare-
Google adsense se $500-$600 per month kamane ke liye aapke ads ki Size Aur Location perfect hona cahiye. Agar aap ek hi size ke ads lagayege to aapko income bahut hi kam hogi. blog me ek 300×600 size ka ads lagana cahiye. Iske sath sath aapko apna ads wahi lagana cahiye jaha par aapke reader ki najar pahle jati ho.. mai aapko kuch place batata jaha par aap apne ads laga sakte hai..

* 1 Ads Unit Sidebar me Lagaye 160×600 size ka.
*  Hmesa Blog ke header par ek 728×90 size ka lagaye.
*  Page or Artical ke Last me Ek Ads Lagaye.
* 2 post ke biche me bhi ads lagaye.

Agar apke blog pe Mobile ka traffic jade aa raha hai to aap Adsense Page Level Ads ko jarur active kare. Aisa karne se apki Income aur bhi badh jayegi.

Esko active karna bahut hi aasan hai, Adsense ko login kare, “My Ads” ke tab me jaye aur waha apko Page Level Ads ka option milega waha se activate kare aur code ko apne blog me add kare.




8- High CPC Wale Country ke Organic Traffic ko Traget Karo-
Yadi aapke blog par india se jyada traffic aa raah hai to aapko india se adsense ke har ek ads par per click ke $0.10 to $0.70 tak mil sakte hai, lekin agar aapka traffic U.S.A, U.K Aus etc. country se aata hai to aapko har ek click par $1-$50 tak mil sakte hai.

Isliye agar aap adsense se badiya paise kamana cahte hai to aapko high CPC country ke traffic ko target karna cahiye. Iske sath sath aapke blog par ane wala traffic bhi Organic hona cahiye. Organic ka mtlab ye hota hai ki aapka blog par google jaise search engine se jyada se jyada aaye. jitna jyada traffic aapke blog par google se ayega utna hi badiya earning aapki google adsense se hogi..

Summary-
Google adsense ek bahut hi badiya aur Aasan tarika hai blog se paise kamane ke liye. google adsense dusare ads network ki tulana me bahut badiya kaam karta hai. yadi hum upar baaye gaye rule ko follow karke apne blog par kaam kare to hum bahut hi asani se har mahine google adsense se $500-$600 tak kama sakte hai. Agar aapke pass adsense ka acount nahi hai to sabse pahle aap apne adsense ka acount approved kara le. muje puri ummed hai ki ane wale time aap bhi apne google adsense ki success story hmare sath share karege.

Aapko ye artical kaisa laga. Agar aapko google adsense se related koi sawal puchna hai commnet box me puch sakte hai…

Captcha Typing Karke Online Paisa Kamaye: 10,000/Month



Yadi aapke pass laptop ya phir Pc hoga to aapko thoda bahut typing karna jarurt Aata hoga. Yadi aap cahate hai ki aap typing karke online kuch paise kama sake to aap bilkul sahi place par hai kyoki aaj mai jo online paise kamane ka method aap logo ke sath share karne wala hu woh method bahut hi Aasan hai aur mai yakin ke sath kah sakta hu iss method ke dwara aapko paise kamane me kisi bhi prakar ki koi paresani nahi hogi.
Yadi aap internet user hai aur aapka koi gmail id hai to aapko yaad hoga ki jab aapna gmail id banane ke liye form bhar rahe honge to form ke last me aapko CAPTCHA  solved karne ke liye diya gaya hota hai aur jab aap uss CAPTCHA ko solved karke form ko submit karte hai tab hi aapka gmail acount banata hai.
Internet par bahut si aisi website hai jo Captcha ko solved karne ka offer logo ko deti hai.  Captcha solved karne ka job bahut hi easy hota hai. bus aapko  diye gaye  Captcha ko solved karke submit karna hota hai. jitna jyada aap  Captcha ko soved karte hai utna hi jyada aapko paise milte hai.
Aaj ke iss artical me mai aapko  Captcha Entry jab ki kuch badiya aur trusted website ke bare me bataoga jaha par aap apna acount bana kar  Captcha Entry ka job start karke paise kama sakte hai. mai jin website ko aapke sath share karne jaa raha hu woh sabhi website trusted hai aur aapko isme kisi bhi prakar ki koi scam hone ka chance nahi hoga. aap apne free time me   Captcha Entry ka job karke har mahine aaram se 10000rs tak kama sakte hai. to chalo dekhte hai ki kon kon si woh trusted website hai jo  Captcha Entry ka job offer karti hai.
Captcha Typing Karke Online Paisa Kaise Kamaye-
Kolotibablo Captcha entry job provider karne wali  top website me se ek hai. aur ye internet par bahut papular hai. Kolotibablo apne member ko 1000 Captcha images ko sahi tarike se solved karne par $0.35 to $1 tak pay karta hai. yadi aap Kolotibablo par latest payment status check kare to aap dekhege ki bahut se log iss website ki madad se $100 to $200 tak earn kiye honge. Kolotibabl aapke kamaye hue paise ko aapke Payza or WebMoney ke acount me transfer karti hai. Kolotibablo par aapko kaam suru karne ke liye jyada time nahi lagega bus aap Kolotibablo par apna acount banao aur kaam karna suru kar do. Kolotibablo ek international Captcha entry job provider hai aur ye market me apna kaam bahut hi badiya tarike se aur lambe samaye  se kar rahi hai isliye aap iss par trust kar sakte hai. yadi aapke pass free time hai aur aap apna pokect money internet ke dwara banana cahte hai to Kolotibablo ke dwara Captcha entry job karke aap acche paise bana sakte hai. isliye jyada soche mat aur aaj se hi iss par acount bana kar apna kaam start kar de.
MegaTypers ka naam  Captcha work me bahut purana naam hai. MegaTypers ek free service hai jaha par aapko kaam karne ke liye kisi bhi parkar ki koi fee nahi deni hoti hai. bahut se mere dost hai jo MegaTypers par free time me kaam karte hai aur woh har mahine aram se $100-$200 tak kama lete hai. MegaTypers par experienced aur top typers $100 (Rs.6000) to $250 (Rs.15,000) per month Eassy tarike se kama lete hai. Jo log  MegaTypers par naye hai unko $0.45 per 1000 word images typed  karne par milta hai lekin jo log MegaTypers par jyada time se kaam kar rahe hai unko $1.5 per 1000 word images typed karne par milta hai. yadi aap MegaTypers par naye hai to aapko starting me thoda kam payment milega lekin jitna jyada aapko MegaTypers par experince hota jayega utna hi jyada aapke paise bhi badhte jayege. MegaTypers aapke paise ko bahut se tarike se deta hai jisme se  Debit Cards, Bank Checks, PayPal, WebMoney, Perfect Money, Payza aur Western Union hai. Aap apne jarurt ke hisab se apna paymnet method choose kar sakte hai. MegaTypers bhi aapke liye badiya option hai free time me kuch paise kamane ka.
2Captcha ek aisa program jai jo Captchas ke sath sath aapko referring ka bhi option deta hai.  2Captcha ek high paying  Captcha  Entry job website hai aur ye apne member ko 1000 Captcha solved karne par $1 se bhi jyada payment deta hai. 2Captcha ke acchi quality ye bhi hai ki ye  complicated Captchas ko solved karne par aapko bonus  bhi deta hai.  2Captcha par aapko kaam suru karne ke liye kewal uss par acount banana hota hai ek baar jab aapka uss par acount ban gaya uske baad aap login karke apna kaam start kar sakte hai. 2Captcha ke paise ko aap  PayPal, Payza & WebMoney ke dwara paa sakte hai. 2Captcha ka Minimum Payout  WebMoney ke liye $0.5, paypal ke liye $5 aur payza ke liye $1 hai. maine khud 2Captcha ki website ka review kiya aur isme har ek chiz ko perfect paya.  2Captcha par kaam karne par aapko kisi bhi parkar ki koi risk nahi hogi. agar aapko isme kaam karte time me koi problem aye to aap 2Captcha ki team se baat karke apne problem ko sloved kara sakte hai. iss tarah hum kah sakte hai ki  2Captcha bhi ek badiya aur trusted tarika hai  Captcha solved karke paise kamane ka.
ProTypers ki  jyadatar chize  MegaTypers ki hi tarah hai. aur agar hum ProTypers aur MegaTypers ki website ki tulna kare to dono website me aapko jyadtar chize same hi milegi.  ProTypers me bhi aap  1000 Captcha images solved karne par  $0.45 to $1.5 tak earn kar sakte hai. ProTypers ek bahut hi simple desgin ki gai website hai jaha par aapko kaam karne me koi problem nahi ata hai aur aapko iss website ke feature ko bhi smjhne me bahut asani hoti hai. jiske pass computer ya phir laptop hai woh  ProTypers par apna kaam suru kar sakta hai. ProTypers apne member ka bahut hi badiya tarike se dhyaan rakhta hai aur member ke dwara puche gaye sawal ka answer bahut jaldi deta hai. ProTypers acount ke paise ko aap PayPal, Payza, Western Union jaise tarike se withdraw kar sakte hai.
bahut se aise log hai jo Captcha2Cash ki madad se acchi income earn kar rahe hai. jab aap Captcha2Cash par acount bana kar login karte hai uske baad Captcha2Cash bahut si chizo ki information aapko mil jati hai jiske aapko bahut madad milti hai. Captcha2Cash aapko 1000 captcha images solved karne par $1 tak payment deti hai.  Captcha2Cash withdraw ke liye  Payza & Perfect Money ko accept karti hai.  Captcha2Cash bhi ek badiya option hai captcha images solved karke paise kamane ka.

Captcha type karke paise kamana bahut hi aasan tarika hai online earning karne ka aur iss tarah ke kaam koi bhi kar sakta hai aur iss tarah ke kaam karne me aapko kisi bhi parkar ki koi investment karne ki bhi jarurt nahi hoti hai. buss trusted website par apna acount banao aur Captcha ko sloved karna suru kar do. jab aapke acount me website ki minimum acount ho jaye to phir uss amount ko website ke payment option ke dwara withdrow kar le. in website par agar aap apne free time me ye job karte hai to aap araam se har mahine $150-$250 tak earn kar sakte hai. to chalo iss website par acount bana kar kaam karna start kar de.
aapko ye artical kaise laga yadi aapko ye helful laga ho to iss artical ko apne dosto ke sath social media par share karke unko Captcha typing ke dwara online paisa kamane ka idea bataye-

Featured Post

๐Ÿ”ฅ BuyInstaFollowers.in – 2025 เค•ा No.1 Indian SMM Panel! Real Followers, Fast Growth!

เค•्เคฏा เค†เคช เคญी Instagram, YouTube เคฏा เค•िเคธी เคญी social media platform เคชเคฐ viral hona เคšाเคนเคคे เคนैं? เคคो เค†เคชเค•ा เค‡ंเคคเคœ़ाเคฐ เค…เคฌ เค–เคค्เคฎ เคนुเค†! เคชेเคถ เคนै – BuyInstaFollow...