google-site-verification: google810058f5829fdccf.html Super fast now : Mobile amazing tricks
Showing posts with label Mobile amazing tricks. Show all posts
Showing posts with label Mobile amazing tricks. Show all posts

Wednesday, 19 July 2017

Tap napping methods se Facebook hack kaise karre kissi ka bhe


Hello dosto aapka ExtraTipsTricks hacking blog me swagat hai ,aaj ke apne is post me main aapko facebook hacking ka ek dusra method bataunga jo phishing method ka advance form hai Agar aapne phishing method se facebook hacking karna nhi seekha to wo aapko pehle seekhna chahiye kyonki  jo aaj ka post hai uske liye aapko phishing ki jankari honi chahiye ,so please pehle ye post padhiyefacebook hacking ka phishing method,fir jab aap usko achhe se jaan jaye fir ye bala post padhiye to apko achhe se samjh me aayega ,Aaj main aapko tab napping method ke baare me detail se batunga ,aur iss method ka use karke main aaj aapko facebook ko hack karne ka tarika batunga .




Ye method aapke phishing method ki tarah hi hai but usse thoda different hai.Chalo pehle main aapko samjhata hoon ki actual me tab napping method hai kya aur kaise work karta hai aur kis tarah isse facebook hack kiya jata hai.


What Is Tab Napping Technique In Hindi?

Is method me hum ek game design karte ya fir ek aisi website ya video banate hai jisme hum apni kuchh programming script integrate kar dete hai ,jab bhi koi dusra insaan us game ko khelega aur khelte khelte apne web browser ki dusri tab me chala jata hai aur fir bapas lautkar usi game bali tab me aa jaye to wanha par ek phishing page aa jayega khul kar apne aap jo us insaam se kahega ki agar aap ye game fir se play karna chahte ho to apne facebook account se login karo aur jb bo bina soche samjhe us par login kar dega to uska username aur password aapke paas aa jayega jaise phishing method me aa jaya karta tha.

Is method ke liye maine ek tough game banaya hai jisko khel pana mushkil hai aur dusra insaan haar hi jayega to badi asani se dusri tab me chala jayega aur jab bo agli baar usi tab me aayega to phishing page aa jayega ,dont worry main aage bataunga sab aapko.

Chalo ab aapko step by step batata hoon ki is tab napping method se kaise aur kis tarah fb hack karte hai.

Tab Nappng Technique Step By Step Process In Hindi

Step:1) Sabse pehle aapko kuchh files download karni hongi jo aap is link par jakar download kar sakte hai.

Step:2) Iske baad jb upar bali file download kar lo to aap dekhenge ki wo file zip file hogi iske andar kuchh files aur folder honge, to aapko us file ko extract karke karke uske andar ki sabhi files ko kisi alag se folder me move kar lena ,agar aap computer ka use kar rahe ho to winrar software ka use karna file ko extract karne ke liye ,aur agar aap android mobile ka prayog kar rahe ho to es file explorer ka prayog kariye zip file ko open karne ke liye.

Step:3) Ab aapko ye sabhi move ki gyi files ko ek webhosting site par upload karna padega.Aap chahe to my3gb.com ya  000webhost.com me se koi bhi website choose kar sakte hai lekin main yanha par 000webhost.com ko lekar chal raha hoon aur usi par apne phishing page upload karne ja raha hoon.To sabse pehle aapko 000webhost.com par ek account banana hoga tabhi wo aapko allowed karenge aapke phishing page ko upload karne ke liye.Iske liye maine ek alag se article likha hai jisme maine detail se bataya hai ki kaise aap apne phishing pages ko 000webhost.com ke server par upload kars akte ho use padhne ke liye yanha par clic kijiye 




Step:4Ab main maan kar chal raha hoon ki jo files aapne download ki thi step 1 me wo aapne 000webhost.com par successfully upload kar di hai,agar nhi kar paye to mujhse puchh sakte hai aap,jab upload ho jaye tabhi aage ke steps padhiye.

  

Step:5Bas ab apka lagbhag kaam ho gaya hai simply index.html file ke samne likha hoga open us par click karna to aap dekhenge ki aapke samne ek game open ho jayega aur game ka page khul kar aa jayega.Ap simply kya kariye us link ko copy karke apne friend ko send kar dijiye. 
  

Step: 6Ab aap apne friend se kahiye ki ye game khel kar dikhao to jaane ,to aapka chalange sun kar wo jarur us game ko khelega aur khelte khelte jab bo apni web browser ki dusri tab kholega kuchh aur kaam karne ke liye fir wo lautkar fir usi game bali tab me aayega to dekhega ki wo game bali tab apne aap phishing page me convert ho gaya ho gaya hoga aur usse kahega ki agar aap aage ye game play karna chahte hai to apne facebook account par login karo ,aur jaise hi aapka victim login karega to uska password aur username aapko 000webhost.com kefile manager >>publick_html>>fb>>password.htmlko open karne se mil jayega.

Agar aapko ye post pasand aaya ho to isko share karna na bhoole ,agar aapko kisi bhi step me koi dikkat aa rahi hai to please mujhse puchhna mat bhooliye.Main jitni jaldi ho sakega aapko reply karunga.

Thank you .....

Monday, 17 July 2017

2 Best tarika mobile pattern kholne ka kissi bhe phone ka

Hi dosto Kya karenge aap agar aapke android mobile me  pattern lock laga ho aur aap uska pattern hi bhool jao ? ,Isse to bahut problem aapke samne aa aajaygi aur aap apne phone kis service center ya kisi najdiki shop par le jaoge ,jisse aapko shopkeeper ko rupay bhi dene padenge .Aur aaj kal har koi insaan rupay kamana aur bachana chahta hai unme se aap aur hum bhi aate hai .Ye pattern lock lagne bali problem sirf aapko hi nhi hoti hai balki bahut se logo ko face karni pad rahi hai ki.Fir bo sochte hai kaise apne phone ko unlock aur pattern lock ko reset karu.

Mere ek readers ne kal mujhe email kiya aur mujhse puchha ki kaise hum android smartphone ka pattern lock break kar sakte hai jisse ki mera phone pehle ki tarah use karne layak ho jaye.To mere mind me ek idea aaya ki mere ek reader ko ye dikkat ho rahi hai lekin aise to kafi sare log honge jo is problem ka permanent solution chahte honge to fir maine decide kiya ki kyon na ek detail me article likhu hindi me jisse us person ki help to hogi Hi sath sath mere sabhi hindi readers ko bhi help mil jayegi .
 


Baise main is article ko English me pehle hi publish kar chuka hoon lekin aaj pettern lock crack karne bala article main apni matra bhasa hindi me post karne ja raha hoon.Jisko padhkar aap bina koi ek single rupay kharch kiye apne mobile ka pattern lock ya pin lock tod payenge.

To chalo aaj ka hindi tutorial start karta hoon ,aur sabse pehle batata chalu ki kaun kaun se method hum use karne ja rhe hai screen me lage pattern lock ko bypass karne ke liye.

  • 1. google accont ke jariye pattern lock ko unlock kaise kare.
  • 2.Factory reset karke pattern lock tode

1. Google Accont Ki Help Se Pattern Lock Ko Unlock Kaise Kare.

Ye pattern lock ko reset karne ka sabse aasan tarika hai ,Ye to aap sabhi log jante hai ki jab bhi hum naya android phone kharidte hai to hume us par ek Google account banana padta hai ,Google account se matlab yanha par hota hai gmail account .Aur sabse badi baat to ye hai ki gmail account create karne karne ke baad aapko usko yaad rakhna chahiye . Jyadatar log gmail account badi hi asani se bana lete hai Par wo uski detail yaad nhi rakhte .
 

Aapke phone me jo gmail account hota hai wo aapke mobile ki administrator ke barabar hota hai ,aapko agar apni gmail id aur password yaad ho to aap uski help lekar apne mobile me lage pattern lock ko bahut hi easily recover kar sakte hai aur isse aapke mobile ka koi data bhi delete nhi hoga ,ye ek simple tarika hai jo khastaur par mobile me isiliye hi diya jata hai ki agar mobile user password ya pattern bhool jaye to bo gmail account ke through usko recover kar sake.
 

To chaliye neeche diye gaye kuchh steps ko follow kariye aur janiye apne android phone ki screen me lage pattern ko kaise change kare.
 


Step:1) Sabse pehle to aap pakka kar lijiye ki aapko apne mobile me jo gmail account dala hai uski detail maloom hai jaise gmail id aur uska password .Agar aapko password nhi maloom to aapgmail.com par jakar apna password change kar lena isse aapko apne account ki sari information mil jayegi.
 


Step:2) Ab aap apna mobile uthana jisme pattern lock laga hua hai .
 


Step:3) Iske baad aap apne phone me lagbhag 6-7 baar galat pattern type kariye .isse kya hoga ki aapke mobile ki screen par ek message show hone lagega jisme 2 buttons hongi ek next ki aur dusri try again ,simply next par click kar dena.
 


Step:4) Jaise hi aap next par click karenge to aapke screen par 2 option milenge ki kaise aap patternlock ko recover karna chahte hai ,unme se ek option hoga ki aap kuchh security questions ka jabab dekar recover karna chahte hai  aur dusra option hoga ki gmail account ki information daal kar pattern lock ko change karna chahte hai ,to simply kya kariye agar aapne pehle se hi kuchh security question daal rakkhe the to simply  security question bala option choose kar lena aur sahi sahi jabab agar aapne de diye to pattern lock khul jayega ,aur  nhi to dusra option choose karna jisme gmail id aur password daal dena apna.
 

2 best tarike Android Phone me lage pattern lock ko kholne ke  

Step:5) Jaise hi aap apna email id aur password daal kar sign in karenge aur aapne sahi sahi email aur password diya hai to kuchh der baad aapke samne ek new screen khulegi jisme aapko new pattern lock dalna hoga .


2 best tarike Android Phone me lage pattern lock ko kholne ke

bas ab kya aapka pattern lock successfully change ho gaya hai ab aap apne phone ko pehle ki tarah use kar sakte ho.

2.Factory Reset Karke Pattern Lock Tode

Ye method tab use karna chahiye jab aapke liye pehla method work na kare matlab aapke paas aapki email id aur password na ho .Baise aap kafi tariko se apne gmail id aur pasword ko pata kar sakte ho lekin unfortunatly agar nhi kar pa rahe ho to koi baat nhi aap is method ka use kar sakte hai is method me koi id aur password ki jarurat nhi padti hai .
Aap agar computer use karte hai to ye jarur jante honge ki hum computer ko boot kar sakte uski bios setting ko khol sakte hai windows ke load hone se pehle .isi tarah hum mobile ke sath bhi kar sakte hai aur android phone ko bhi load hone se pehle hum uski system setting tak ja sakte hai wo hum aage ke steps me dekhenge ki kaise android ko boot karte hai safe mode me.
 

Is method ki sabse buri baat ye hai ki aapka data jo kucch bhi phone me dala hoga bo pattern ko todte samay delete ho jayega aur aapka phone jaisa aaya tha khardite samaya baise ho jayega ,lekin haa ye yaad rakhna sirf phone ka data delete hoga na ki usme dale micro sd card ka data delete hoga.Micro sd card ka data ek dam safe rahega aapka usme koi problem nhi aayegi.
 

To chaliye dekhte hai kaise factory reset karte hai phone ko jabki usko hum open nhi kar sakte hai pattern lock ki wajah se.

Step:1) 
Sabse pehle aap kya kariye apne mobile ko switch off kar dijiye aur uski battry ko hata dijiye ,iske 2 second baad battery ko fir se laga do  (Lekin abhi switch on mat karna)
 


Step:2) Ab aapko kya karna hai ki apne phone ki recovery mode me jakar phone ko reboot karna hai .Lekin sabhi companies jaise samsung ,micromax,htc etc phones ke recovery mode me pahuchne ke liye alag alag tarike hote hai ,kucch common componies ke tarike main neeche bata raha hoon dhyan se dekhiye aur ek ek word sahi se padhna nhi to recovery mode nhi khol paoge aap.
 

Samsung : Agar aapke paas samsung ka phone hai to Volume Up + Home + Power key teeno button ko ek sath dabaye rakhna hai lagbhag 10 second tak .(Agar aapke mobile me home ki button nhi hai to koi baat nhi simply volume up+ power key hi dabaye rahiye jab tak samsung ki logo screen nhi dikhne lage)
 

 Note: Dhyan rahe pehle volume up button dabana iske turant hi baad jyada time mat lagana power button dabani hai.

HTC : Agar aapke paas HTC  ka phone hai to sabse pehle volume up key dabaye rahiye isko chhodna nhi  aur sath hi power key dabana usko bhi mat chhodna  dono key ko ek sath dabaye hi rehna hai  jab tak ki recovery mode show na karne lage

 Note: Dhyan rahe pehle volum up fir power button dabana hai
Micromax : Agar aapke paas Micromax  ka phone hai to sabse pehle power key iske baad volume up ki iske baad volume down key teeno ko ek sath dabaye rehna jab tak ki recovery mode na aa jaye.
 Note: Yaad rahe volume up ka matlab hota hai jis key se  hum gaane ki aawaj badhate hai 
volume down ka matlab hota hai jis key se hum gaane ki aawaj kam karte hai
aur power key ka matlab hota hai jis button se hum apne mobile ka switch off kholte hai

 
2 best tarike Android Phone me lage pattern lock ko kholne ke

Step:3) Ab jaise hi aapke mobile kirecovery mode ki screen khul kar aayegi to aapko usme kayi sare option dikhenge .ab yanha par aapko agar upar jana hai to volume up key dabana aur agar neeche jana hai to volume downkey dabana aur agar kisi option par jakar okay karna hai to iske liye  power button dabana hoga.
 



Step:4) Aapko is screen par  "Wipe Data/ Factory Reset" ya fir "Restore factory defaults" ya fir "Delete all user data " naam ka koi ek option milega ye aapke phone ki manufacturing par depend karta hai simply jo aapke phone me option ho us  par jakar okay karna hai power button dabakar.
 


Step:5) Iske baad kucch option honge usme se Reboot System Now ka ek option hoga us par jakar okay kar denapower button dabakar.
 


Step:6) Bas ab kya aapke phone ki rebooting process start ho jayegi ,isme thoda time lagega so aap ghabrana mat .
 

jaise hi process khatm ho jayegi to aap dekhenge ki aapke android phone se pattern lock puri tarah se hat chuka aur aapka phone bilkul naya jaisa ho gya hoga jaisa ki jab aapne usko kharida tha utna hi data bachega .

Ab aapki baari hai dosto ab aap yanha bataye gaye tariko se kitna seekha hai ye aapke presense of mind par depend karta hai ,agar aapne ek ek step kayde s padha hoga to i am dame sure ki aapne pattern lock ko kholne ka pura tarika jaan liya hoga ,aur aasani se pattern lock unlock karne lage honge.
Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks aur hack la saku .....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.

Monday, 10 July 2017

Smartphone Ko Root Karne Ke Fayde Aur Nuksan?

Hy dosto Mera nam Shubham hain aur aapme se bahut aise hoge jinhe smartphone rooting ke bare me pata nahi hoga, mujhe bhi shuru me phone rooting ke bare pata nahi tha par ab mai iske bare itna jaan gya hu iske upar ek book likh sakta hai. aaj ish tutorial me mai aapko smartphone ko root kaise kare aur root kya hai uske bare batuga saath hi iske fayde aur nuksaan ke nare bhi discuss karenge.
android smartphone ko root kaise karte hai

Smartphone Ko Root Karne Ke Fayde Aur Nuksan?

Phone root karne se pahle aapko iske bare samjhna hoga aur ye janna hoga ki phone root hai kya, sabse pahle mai aapko iske fayde aur nuksaan ke bare bataunga aap ise jarur padhe aur pura samjhne ke baad hi phone ko root kare


Advantage Of Rooted Phone
Fully Controlled By You – smartphone ko root karne ke baad aap uske android os ko apne hisab se fully customize kar sakte hai aur saath hi iske interface ko puri tarah se badal sakte hai basrte aapko thodi bahut developer coding aani chaiye.
Non Removable Apps – Pahle se pre – installed app ko aap aasani se uninstall kar sakenge, jab aap new phone lete hai to usme pahle se hi kai useless apps pre – installed rahte hai jiski aapko jarurat bhi nahi hoti aur bas wo space cover karne ka kaam karti hai root ki madad se aap aise apps ko uninstall kar sakte hai aur internal memory ko increase kar sakte hai.
Ads – Free Phone – Har ek phone me ads ke show karne ke liye ek Alarm control app pre – installed hota hai jise aap chah kar bhi unistall ya block nahi kar sakte aur jab aap internet open karte hai to isi alarm ki wajah se baahiyat type ke ads show hone lagte hai , agar aapka phone rooted hai to aap sari ads ko block kar sakte hai.
Boost Your Phone – Root ki madad se aap phone ke Ram ( random access memory ) ko badha sakte hai aur phone ke processor ko increase kar sakte hai
Disadvantage Of Rooted Phone 
Performance – smartphone ko root karne se phone ke performance me bahut asar padta hai agar aap mobile ko sahi se root nahi karte hai to aapke phone ki speed kafi kam ho jayegi aur bahut jald hang hogi, agar aapke phone me 1 gb aur above ram hai tab hi aap phone ko root karne ki soche.
Warranty – Phone rooting me warranty sabse aham hoti hai isliye phone ko root karne se pahle iski warranty dekh le, jab aap phone ko root karte hai aap phone ka warranty bhi kho dete hai aur aisa isliye hota hai kyuki phone ki warranty aapko security ki di jati hai aur root security ko todta hai , waise ye warranty wali problem bade company me hota hai jaise – LG, HTC, SONY, MOTOROLA, SAMSUNG.
Agar aapko uper diye nuksan se koi farak nahi padta to aap aram se phone ko root kar sakte hai chaliye ab jante hai ki ye root hota kya hai, phone ko rooting ki jarurat kyu padti hai.

Smartphone Rooting Kya Hai?

phone ko root karne se pahle aapko iske bare janna bahut jaruri hai, aapne kabhi notice kiye hoge to aapko pata hoga ki kai sare apps ko phone me install kar run karaane ke liye phone rooting ki jarurat padti hai , Agar aap apne android ke old version ko use kar thak chuke hai to aap rooting ki madad se isme new operating system daal sakte hai aur apne hisab se customize bhi kar sakte hai lekin aap ye tab kar payenge jab apka apne phone me full control hota hai aur wo aapka root karne ke baad hi hoga.

Android Smartphone Ko Kingroot App Ki Madad Se Kaise Root Karte Hai?

Dosto phone ko root karne ka sabse asaan method hai ki aap rooting app ki madad le, mai aaj aapko kingroot ka rooting app ki help se phone ko root karna sikhaunga jise follow kar aap aasani se bina pc ko use kiye smartphone ko root aur unroot kar sakte hai.
Step 1. Sabse pahle phone me Kingroot Appdownload kariye.
Step 2. Ab install karne ke baad kingroot app ko open kariye.
Step 3. App open karne ke bad Get now me click kariye.
hinditechhelp
Step 4. Get now Tap karte hi rooting process start ho jayega aur 100 % complete hote hi phone reboot hoga,
Itna hote hi aap root access kar payenge.
Note :- Agar aap phone ko unroot karna chahte hai to kingroot application ko uninstall nahi kare, aisa karne se phone unroot nahi hota balki phone root hi rahta hai ise unroot karne ka sabse asaan tarika hai aap kinmgroot app >> General setting me right side jakar uninstall kingroot select kare.
hindi tech help
Ye smartphone ko root aur unroot karne ka sabse asaan tarika hai agar aap phone ko root karne ka soch rahe to mai aapko kingroot app hi suggest karuga.


Ummid hai dosto aapko ye post achhi lagi hogi agar aapko ish post se related kuch sawal puchna hai to wo aap hame comment me puch sakte hai, agar aapko ish post se madad mili hai to ise apne social media aur dosto ke saath jarur share kariye.

Andorid phone ko root karne ke Kya faide hain

Hello visitors, agar aap apne Android smartphone ko root karrhe hn ya aapne root karrkha h to aapko root ke bare me wo bate janna bhi jaruri h ki aakhir root kyo jaruri h ya hum root karne ke bad kya karsakte hn konse aap rooted device me kam karte hn. Mobile ko Root karne Ke Fayde kya hn ?
chaliye dosto maine apne pichle article me aapko Android mobile ko root karne ki hindi trick me bta chuka hu ki aap apne mobile ko kaise root karsakte hn. yaha m aapko btaunga ki root karne ke bad aapko kya fayda hota h ya mobile ko root karne ke fayde kya hn? chaliye ab m aapko step by step un sabhi apps ke bare me btata hu jinke liye aap apne mobile ko root karte hn. yaha m aapko btaunga ki aap unko kis tereh se upyog kar sakte hn.

Mobile Ko Root Karne Ke Fayde Kya hn ?

Dosto root karne par aap apne mobile ka imei number change kar sakte hn jo ki free recharge app ki loot trick me lagbhag karna padta h. aap rooted device me imei changer app, donkey guard, Android id changer, ROM Manager app etc ko use kar sakte hn. chaliye ab m aapko en apps ke bare me btata hu ki kisi bhi loot Trick ya free recharge app trick ko upyog karne ke liye aapko agar imei , device id , ya values change karni ho to aap kaise badal sakte hn –

Mobile Ko Root Karne Ke Fayde Kya Hn :-

1. Exposed Framework:-

mobile ko root karne ke fayde kya hn

dosto agar aapne apna mobile root kiya h to aapko exposed framework app apne mobile me install karna hoga kyonki es app ko download karne ke bad hi aap imei changer or Android id , donkey Guard aap ko install karsakte hn.

2. Xposed imei changer app:-

mobile ko root karne ke fayde kya hn
dosto agar aapko apne mobile ka imei number change karna h to aap imei changer app se imei number change kar sakte hn.
Note :- imei change karna ek illegal process h please agar aap isko education purpose ke liye kare to hi jyada acha rehta h.

3. Device Id Changer App:-

mobile ko root karne ke fayde kya hn
aap Android id changer aap se apne mobile ki Android id change kar sakte hn. ye ekdum simple h.

4. Donkey Guard App:-

mobile ko root karne ke fayde kya hn
dosto donkey guard aap se aap apne browser, koi bhi app ya software ya game ki Android id, imei, ya uski kisi bhi tereh ki value change kar sakte hn. app donkey guard se play store ki value bhi change kar sakte hn.

5. Root Checker App:-

Mobile Ko root karne ke fayde kya hn
aap root checker app se apne mobile me install karke check karsakte hn ki aapka mobile rooted h ya nhi.
Dosto agar aapka mobile rooted h to aap en apps ka upyog jarur kare. ye sabhi apps app sirf education purpose ke liye hi use kare. kisi bhi free recharge app ki loot Trick ke liye ye app bahut jaruri hote hn.
Dosto mujhe aasha h ki aapko mera ye article “mobile ko root karne ke fayde” pasand aaye. agar aapko article pasand aaye to aap mujhe comment karke support kare. kisi bhi tereh ki help ke liye contact kare – hamare whatsapp number ya comment kare.

“Mobile Ko Root Karne Ke Fayde Kya Hn”

“Hme Visit Karne Ke Liye Aapka Sukriya

Mobile hang hone se kaise bachaye – 7 best tips

Kya aapka mobile phone hang hota rehta hai ?, kya aap iss hanging problem se pareshan ho chuke hai ?, agar han to aap akele nahi hai is pareshani me. Duniya me lagbhag 85% smartphone users is hanging problem se pareshan hai. But, kya aapko pata hai “mobile hang hona” iska karan hum khud hi hai. Hum bina kisi care kiye apne smartphones ko use karte rhte hai. Isse mobile dhire dhire slow hota rehta hai aur finally phone hanging problem shuru ho jata hai.
mobile hang hone se roke
Jab hum purane dino, old java/Symbian phones use karte the tab hume hang kya hota hai ye pata nahi tha. But, jab humne Android, windows, iso jese OS ke smartphones use karna shuru kiya tab hume pata chala hang hona kis chiriya ka naam hai.
Iska simple reason hai, aajkal k mobile phones jise hum smartphones kehte hai wo Android, windows jese software pe chalte hai. Inn softwares (OS) ko chalne k liye higher hardware capacity ki jarurat hoti hai. Iska matlab jitna jyada RAM, Processor speed, GPU utna fast aapka mobile.
But, jab RAM, processor aur GPU jese hardware configuration ache ho aur firbhi phone hang ho tab kya. Tab baat ati he humare usage ke upar. Matlab hum apne phone ko sahi tarike se use nahi kar rahe. Isse smartphone ko operate karne me problems aa sakte hai. Aur, finally mobile hang hone lagta hai jisse hum pareshani me aa jate hai.
Wese, phone hang hone ka karan bohot ho sakte hai. Lekin agar hum kuch chizo ka dhyan rakhe to iss problem ka solution hum khud hi he.
Iss post me mai aapko mobile hang hone ka karan aur unke solution bataunga. But, ye dhyan rakhe thora bohot hang hona common hai. But, agar aapke phone pe hanging problem jyada hai to niche diye tips ko follow karke mobile ko hang hone se bacha sakte hai.

Mobile hang hone se kaise bachaye – 7 best tips

1. Smartphone pe limited apps use kare
Sabhi mobile phones apne RAM ya processor limit k sath market pe aate hai. Kuch k RAM / processor speed jyada hote hai kuch k kam. So, agar aap apne hardware capacity se jyada phone par apps, games install karoge to phone hang hone k chances jyada hai.
Isiliye, sabhi unwanted apps, games uninstall kare. Isse phone thora halka hoga aur aapka memory space free hoga. Agar aap dhyan se dekhenge, aapko apne mobile par ese apps bhi milenge jinhe aapne mahino pehle install kiya hoga aur aaj tak use nahi kar rahe. So, ese apps turant hi uninstall kare.
Jitna kam apps aap install karenge utna halka aapka phone rahega. Internal storage bhi free hoga jisse mobile fast kaam karega.
2. Unnecessary data (Videos, files, images) delete kare
Aap apne mobile par whatsapp, Facebook jese apps use kar rahe hai to jahir he unme daily images, data ya audio files aa rahe honge. Aur, ye data aur files agar aapke phone ke internal storage pe save ho rahe hai to aap apne phone k hang hone ka karan khud hai.
Simply apne smartphone par ache se check kare. Agar aapko koi bhi unwanted images, files, mp3, audio file etc mile use delete kare. Iske alawa aap jyada se jyada files ko pehle apne computer ya laptop pe copy karke fir apne phone se delete kar sakte hai.
Isse aap jyada se jyada data clean kar sakte hai. Ye sare files aapke smartphone pe bohot jagah khate hai. Isse phone slow hona common hai. Aur, phone hang hone ka bhi ye common reason hai.
3. Android apps ko updated rakhe
Jyadatar log ekbar apps download karne k baad unhe update nahi karte. Isse apps purane hote rehte hai aur uska performance bhi kharab hota rehta hai.
Isiliye humesha apna install kiya huwa apps update kare. Isse aapko app ka new aur latest version milta hai jisse apps fast aur actively kaam karta hai.
App developers humesha apne apps ko behtar aur light banane ki koshish karte hai. Har new update pe wo apps ko behtar banate hai. Isiliye jabbhi update available ho playstore jese app store se apne installed apps ko update kare.
4. Phone ko switch off kare
Jese hum raat ko sote hai apne aap ko refresh karne k liye, wese smartphones ko bhi reactive aur refresh hona pasand he. Isse smartphones ka system restart/reboot hota hai jisse RAM aur Processor fast kaam karta hai. So, jabbhi moka mile apna phone kuch der tak switch off jarur rakhe. Sabse best time hai phone off rakhne ka raat ko jab aap sote hai.
5. Use RAM cleaner apps to clean RAM
Apne mobile par humesha ek app jarur rakhe jo RAM aur system ko clean kare. Iske liye sabse best app hai clean master. Clean master aapko RAM, junk files, unused apps etc clean karne ka option deta hai. Isse aapka phone clean aur halka rahega. Jab RAM aur phone clean aur fast rahega tab mobile hang hona lagbjag kam hi ho jayega.
Yaad rakhiye, jitna jyada mobile ka RAM use hoga utna jyada phone slow aur hang hoga. Aur, maximum apps background me chalrahe hote hai jisse phone slow ho jata hai. Isiliye phone pe chal rahe unwanted running apps ko close kare.
Running apps close karne k liye aap – Clean master lite (boost), AIO Clean, Aast cleanup & boost, smart boost jese applications apne phone par use kar sakte hai.
Agar aap manually bina kisi app k running apps ko close karke RAM free karna chahte hai to ye bhi kar sakte he. Iske liye apne android phone se SETTINGS >> APPS >> RUNNING APPS par jaye.
Running apps list pe aapko sare applications dikhenge jo aapke phone par background me chal rahe hai. Ab aapko jo unwanted apps band karne hai unpar tap/select kare. Select karne k baad STOP par tap/select kare.
Now aapke unwanted background apps run hona band ho jayenge. Isse RAM free hoga aur mobile fast kaam karega. Aur, jab mobile fast kaam karega tab hang hone ka chance nahi rahega.
6. Apps ko external storage (sd card)  pe install kare
70% log apne phone pe apps install karte samai ye dhyan nahi rakhte k app kaha install kaha ho raha hai. Wo ye bhi nahi sochte k isse phone ke performance pe kya asar hoga.
But, isme unka koi dosh nahi. Jyadatar logo ko ye pata hi nahi k by default bohot se smartphones pe jab hum apps install karte hai wo phone k internal storage par save hota hai.
Yane wo app internal store pe jake install ho jata hai. Isse, mobile k internal storage pe kam jagah bach jata hai jo dusre apps ko run hone me problem deta hai. Ye mobile slow hone ka bara reason hai aur isse mobile hang hona common hai.
So, humesha apps ko external storage yane sd card/memory cards par save/install kare. Ye karne se internal storage free rahega aur apps run hone me koi pareshani nahi hogi. Apps fast aur freely run honge to system bhi fast aur hang free rahega.
Apna default app storage location external/sdcard karne k liye – Settings >> storage >> default write disc >> SD card/external storage par select/tap kare. Now phone ka default storage external storage yane memory card/sd card ho jayega. Ab jabbhi koi application insall karenge wo SD card / External storage pe save/install hoga.

Note: Kuch mobiles par ye setting alag jagah pe ho sakte hai. Isiliye aapko thora dhundna par sakta hai. But, settings ke andar hi milega.
7. Antivirus software use kare
Agar aapka smartphone hamesha hang hota rehta hai to iska karan virus bhi ho sakta hai. Mobile pe internet chalana, dosto se file receive karna ye sab aapke phone virus laa sakte he. Aur, agar aapke phone pe virus hai to isme koi shak nahi k aapka phone slow hoga aur hang hota rahega.
Isiliye, apne smartphone par ek acha antivirus app/software install kare. Antivirus aapke mobile ko online virus, malware ya file receive karte samai virus ghusne se bachayega.
Agar aap android smartphone user hai to Google playstore se free Antivirus softwares download & install kar sakte hai. Best performance k liye AVAST, CM SECURITY, KASPERSKY ANTIVIRUS, 360 SECURITY jese antivirus softwares ka istemal kare.
Final words and tips
To dosto agar aapka mobile hang ho raha hai aur aap apne phone ko hang hone se rokna chahte hai to upar diye tips jarur follow kare. Isse aapka smartphone light, fast aur free rahega.
Ye yaad rakkhe k mobile hang tabbhi hoga jab phone slow hoga, internal storage full hoga, RAM jyada use hoga ya koi virus rahega.
So, agar aap internal storage aur RAM free rakhenge, antivirus ke istemal se virus ko nikalenge aur limited apps use karenge to aapki phone hang nahi hogi.
Agar aapko upar diye sabhi tarike jisse phone ko hang hone se roka ja sakta hai pasand aye to apne dosto se ye post jarur share kijiye.

Conference call kare ? call ko conference karne ka tarika

Conference call  kare ? call ko conference karne ka tarika kya hai ? ye sare sawal aajkal smartphone users k mind me bohot aate hai. Specially, jab jio jese offers ho unlimited free call ki tab conference calling ka faida uthana to banta hi he. So, aaj iss post par hum conference call kya hota hai aur apne Android mobile se ise kaise karte hai iske bareme sikhenge.
Conference call kaise kare
Note: post k starting me hi me ye clear kar dun. Jyadatar telecom company istarah ke call k liye extra paise charge kar sakte hai. Aapke pas koi unlimited calling pack activate ho tabbhi wo conferencing k liye extra charge le sakte hai. Isiliye, sabse pehle apne telecom company ke customer care executive se call conference related charges ke bareme baat kare aur clear ho jaye.

Conference call kya hota hai ?

Dosto normally hum kya karte hai, apne smartphone par contact number type karte hai aur call button press karte hai. Isse hum bari asani se samne wale se jitna man utna baat kar pate hai.
But, conference call esi ek facility ya service hai jaha hum na kewal do balke 3, 4, 5 ya usse jyada logo se eksath batein kar sakte hai. Yes, aapne sahi suna. Hum ek hi sath 2 se jyada logo ko call kar unse batein kar sakte hai.
Iss call me jure sare log bhi ek sath aapas me batein kar sakte hai. Matlab, jab aapki conference call activate ho jati he tab us call par jure sare log aapse aur call se jure logo se ek sath baat kar pate hai.
So, conference call kya hai ye to aap samajh hi gaye honge. Chaliye ab niche ise karte kaise hai iska tarika bhi jaan le.

Call conference kaise karte hai janiye tarika

Step 1
Call ko conference karne k liye sabse pehle aapko apne mobile se pehla call lagana hota hai. Matlab aap eksath 3 ya 4 logo ko call nahi kar sakte. Aapko ek ek kar logo ko call karna hoga aur unhe conference karna hoga.
To sabse pehle apna pehla call lagaye.
Apna pehla call lagaye
Dhyan rakhiye, jisko aapne call lagaya he wo aapka phone receive kar le tab aapko next step par jana hai.
Step 2
Jab pehla call lagane wala aapka phone receive kar le tab use thora wait karne k liye kahe. Iske baad niche add new call button par click kare aur dusra number dial kare. Ache se samajhne k liye niche image ko dekhe.
New call lagaye
Add a new phone call
Ye add new call button aapko apne phone k caller screen k niche dikh jayega.
Step 3
Add new call button par click/tap karne se aapke phone par contact list khul jayega. Aapko simply jise dusre call pe add karna ho use chune.
Step 4
Ab, jabke aapne call pe dusre caller ko add kar diya hai so pehla wala call HOLD par chala jayega aur dusra wala active ho jayega. Me janta hun aap yaha thora confused ho rahe ho.
second call activate rakkhe

But, ye bohot simple hai. Aapko yaha kuch nahi karna hai. Jesa k aap upar image pe dekh rahe ho –
  • Aapka pehla first call hold par hai.
  • Dusra call activated hai.
Esehi, jab dusra caller aapka phone receive kar le tab aapko next step 5 karna hai.
Step 5
Ab finally, aapko apne first call jo hold par he aur second call jo activated hai dono ko marge yane conference karna hai.

Calls ko conference karne k liye aapko mobile pe call dialer screen k niche ek arrow button dikhega. Ye button press/tab karne par aapke dono calls eksath conference ho jayenge.
Call conference button
Step 6
Congratulations, now conference button par click karne pe aapki calls conference ho gayi he. Now aap 3 o log ek sath call par batein kar sakte hai.
call activated ko chuki hai
Note: Ab isi process ko follow kare aur jyada se jyada logo ko call par add kare aur batein kare. Dosto, aur ek baat ye hai k alag alag Android versions pe call dial screen alag ho sakte hai. But, conference karne ki process sabhi me same hai.
Aapko add new contact button se new contact ya number add karna hoga. Iske baad simply dono calls ko Conference  button ko press karke conference karna hai.
Finally, aaplogo ko conference call kaise kare iska sahi tarika pata chal gaya hoga. Ab khud try kare aur is feature ka maza uthaye.

Featured Post

🔥 BuyInstaFollowers.in – 2025 का No.1 Indian SMM Panel! Real Followers, Fast Growth!

क्या आप भी Instagram, YouTube या किसी भी social media platform पर viral hona चाहते हैं? तो आपका इंतज़ार अब खत्म हुआ! पेश है – BuyInstaFollow...