Facebook par group kaise banaye ?tarika kya hai ? ye janne se pehle aapko Fb group k bareme janna hoga. Ek Facebook group se hum bari asani se logo se stories, suggestions ya apne interests share kar sakte hai. Iske alawa, aap Facebook par groups banakar apne group members k sath polls, questions ya fir koi bhi baat discuss kar sakte hai. Yaha jo group ko banata hai wo leader hota hai. But, group k sare members koi bhi question ya status post kar pate hai jo ki Facebook page se alag aur behtar hai.
Simply kahe to, group admin ya group members koibhi kisi bhi topic k upar post kar uske upar comment aur batchit kar sakte hai. Lekin, group ki privacy settings aur baki bakdor admin yane group create karne wale k paas hi rehti he. Admin yane group banane wale ko members ko add karwane hote hai. Agar koi group me add hona chahe to wo aapko yane admin ko request bhi bhej skta hai.
So, agar halhi me aapne bhi Facebook par groups k bareme suna hai aur aap apne Facebook account se ek group banana chahte hai to bilkul bana sakte hai. Facebook se ek free group banane ka tarika bohot simple hai. Aapko sirf apne FB account par login karna hai aur kuch simple steps ko follow karna hota he.
Facebook par groups kaise banaye ?
Facebook group banane ke liye sabse pehle aapko apne computer ya laptop se
par jana hoga. Wese mobile se bhi aap group create kar sakte hai. But, mobile se aapko sare settings karne me pareshani aa sakte hai. Isiliye group ko first time pc ya laptop se hi create kare.
Chaliye ab hum niche group create karne k 6 steps jaan le.
Step 1
Jesa k mene pehle hi kaha, aapko Facebook k website par jana hoga. Website par jane k baad simply apna login details bhare aur apne account par login kare.
Step 2
Facebook account par login karne k baad aapko apna FB home page dikhega. Home page upar k taraf eknavigation bar dikhega. Iss navigation bar par Profile name, home, message, notification jese links/options rehte hai.
Aapko simply navigation bar k last option down arrow icon par click karna he. Behtar jankari k liye aap upar image par dekhe.
Step 3
Down arrow icon pe click karne se aapke screen pe kuch new options show honge. Inn ayehuwe options mese simply Create group ke link par click kare.
Iske baad aapke screen pe group create karne k liye kuch options show honge.
Step 4
Jesa k mene upar kaha, create group par click karne par next aapke screen par ek new page pop-up hoga. Ayehuwe page par aapko apne new group bareme kuch details bharne honge.
1. Name your group : sabse pehle ki box par aapko apne group ke liye ek acha naam dena hai. Name koi esa de jisse logo ko ye pata chale k aapka group kis topic ya subject se related hai. Wese aap kuch bhi name de sakte he.
2. Add some people : iss box par aapko apne group members add karne hai. Yane aap apne friend list se jise chahe iss group pe add karwa sakte hai.
Members add karne k liye simply apne dosto ka name box par type kare. Aapko apne dosto k profile show ho jayenge. Profile show hone k baad simply unhe click kare aur box par add kare.
Note: Group create hone k baad bhi aap members add kar payenge.
3. Select privacy : last option hoga select privacy ka. Privacy me aapko 3 options milte he.
- Public group
- Closed group
- Secret group.
Public group ka matlab hai, koi bhi aapke group, group members aur iske posts ko Facebook par dekh sakta hai.
Closed group ke option me, koi bhi aapke Group ko dhund aur iske members ko dekh payega. But, group ke posts ko nahi dekh payega. Iske liye use group par add hona parega. Kyuki sirf members hi posts ko dekh ya uspar coment kar payenge.
Secret group ke option pe, sirf group members hi group ko aur iske posts ko dekh payega. Members k alawa kisiko ye group nahi dikhega.
So, apne hisab se apna privacy chune. Behtar he agar aap public ya closed privacy mese ek chune.
Step 5
Last, aapko box ke ekdam niche pin to shortcuts ka ek box dikhega. Apko simply box par click karke use select karna hai. Iss option ko select karne se aapko apna group Facebook home page ke right side k shortcuts me dikhega.
Now finally, aapko box k niche create ke button par click karna hai.
Step 6
Create ke button par click karne k baad next aapko ek page dikhega jaha bohot se icons honge. Apko ayehuwe icons mese koi bhi ek select karna hai apne group k liye aur niche OK pe click kare.
Congratulations, ab next page par aapko apna new Facebook group dikhega.
Facebook naye Group par settings kaise kare ?
Jesa k humne upar apne Facebook account se free group ko bana liya hai. Ab humare group me hume thore settings karne hone. Isse group dikhne me attractive hoga aur logo ko aapka group pasand bhi ayega.
Jesa k aap upar image pe dekh sakte hai, new group me koi image ya profile pic nahi hoti. So, group create karne k baad sabse pehle upar dikh rahe upload photo button se ek achaGroup profile photo set kar le.
Next aap apne group me kuch interesting aur ache posts, images, videos aur polls share kare. Take jis kisi ko bhi aapka group dikhe unhe aapke content (posts, polls etc) ache lage.
Posts ya polls share karne k liye group ke dashboard se write content box par jaye aur share kare.
To finally, mene aapko Facebook par groups kaise banete hai iska tarika batadiya hai. Agar aapko kuch nahi samajh aya ho to hume niche comment jarur kare.
No comments:
Post a Comment