google-site-verification: google810058f5829fdccf.html Super fast now : Facebook kaise chalaye ya use karre

Tuesday, 11 July 2017

Facebook kaise chalaye ya use karre

Welcome friends, humara aaj ka topic hai facebook kaise chalaye ya use kaise kare. Iss post pe me aapko Facebook k kuch jaruri jankari dunga jisse aap ise asanise chala sake. Wese Facebook ko chalana aur istemal karna bohot hi asan hai. Lekin jo pehlibar ise use karega use thora time lagega sabhi chizo ko samajhne me. Isiliye me apko sabhi jaruri chize batane wala hun jisse k aap computer aur mobile pe ko use kar paoge.
Dosto, facebook kya hai ye to hum sabhi ko pata hai. Facebook ek social networking site hai jaha hum duniya bhar k logo se jure reh sakte hai. Yaha hum apni photo, video etc sab k sath share kar sakte hai. Sabse bariah baat ye hai k inn saab chizo k badle humse koi bhi paise nahi liya jata. Yane hum Facebook bilkul free me kar sakte hai internet connection ki madat se.

Fb use kare


Agar humare mobile ya computer pe internet connection hai to hum asani se Facebook chala sakte hai. To chaliye niche hum Facebook se kya aur kaise kar sakte hai ye jaan le.
Friends jesa k maine kaha he ki Facebook ko chalane k liye hume pehle kuch chizo ki jarurat hogi.
  • Computer ya mobile
  • Internet connection
  • Browser ya Facebook app
To hum pehle computer me facebook chalane ka tarika jaan lete hai. Lekin mobile pe ise use karna aur bhi asan hai. Iske bare me bhi hum niche parhenge.
Computer me facebook kaise chalaye aur istemaal kare ?
Dosto, agar apne computer ya laptop me facebook ko chalana hai to pehle apne computer se koi bhi browser open kare. Me to Mozilla Firefox ya Google chrome hi use karta hun. Apne computer k browser pewww.facebook.com ka url type kare aur ENTER ka button dabaye.
Enter ka button press karne k baad aapko Facebook ka website dikhega. Aab aapko FB k home page se login ya signup karna hoga.
Yane, agar aapne pehle hi Facebook pe apni account register ki hai to apni login id aur password upar box pe bhare aur LOGIN button pe click kare.
Ya fir, agar aapne abhitak FB pe account nahi banai hai to SIGN UP k niche apni details bhare aur Sign up button pe click kare.

facebook kaise use kare

Login karne k baad aapko Facebook ki dashboard yane main page dikhegi. Iss page pe aapko bohot sari options dikhegi. Inmese kuch options se aap apne profile ko edit kar sakte hai. Niche sabhi jaruri setings aur options ko dhyan se parhe.

Facebook me sabhi jaruri settings kaise kare ?

Sabhi jaruri settings k liye aap apne Facebook k main page pe left hand side pe dekhe. Aapko PROFILE k niche EDIT PROFILE ka ek option dikhega. Iss option pe click kare.

facebook profile edit

Edit profile pe aapko bohot se options milenge jaha aapko khud ki details bharna hota hai. Jese, aap kaha rehte ho, kaha kaam karte ho, konse school ya college se ho, apna contact details, personal details etc. Ye sab bharne k baad aap isi page k upar se apna profile pic bhi add kar sakte ho.
Profile pic upload karne k liye profile k box pe click kare.


Click karne k baad aapko UPLOAD PHOTO ka ek option dikhega. Fir aap iss option pe click kare aur apne computer se jo bhi pic select karna chahe select kare aur SAVE kare.
Aab aapne apna details aur profile pic bhi Facebook me add kar liya hai.

Facebook navigation bar k bareme

Facebook k kisi bhi page me upar ki taraf aapko blue color ka ek bar dikhega. Iss bar pe kuch options rehte hai jese PROFILE NAME, HOME aur kuch small icon images.

Fb navigation bar

  • Sabse pehle aapko dikhega ek search box. Iss search box se aap kisi ko bhi dhund sakte hai. Iska matlab iss box pe aap jise dhundna chahte hai uska name likhe aur search kare. Agar diye huye name ka koi active Facebook user rehta hai to uska profile show ho jayega. Bas uske profile pe click kare.
  • Fir aapko navigation bar me dikhega aapka profile icon imagejaha aapka name bhi likha hoga. Iss icon image pe click karne par aapko aapki sabhi details najar aa jayegi. Jese aapne kitne photos ya status share ki hai. Agar kisine aapke timeline pe kuch post kiya hai to wo bhi aap dekh paoge.
  • Frofile icon k baad aapko HOME ka ek option dikhega. Ispe click karne par aapko Facebook ki main Home page dikhegi. Iss page pe aapke jitne Facebook friends hai unke posts dikhenge. Yane aapke dosto ne kya kya images aur status share ki hai wo aap dekh paoge.
  • Home option k baad aapko ek small icon dikhega. Ye icon ekfriend request notification iconhai. Yaha aapko kuch nahi karna hota hai. Yane agar koi aapko friend request bhejta hai to iss icon ki madat se aap wo jaan pate hai. Simply icon pe click karne se aapko pata chal jata hai k kisne aapko friends request bheji hai. Agar aap request bheje huwe byakti ko apna friend banana chahe to simply CONFIRM k button pe click kare. Iske baad wo byakti apka Fb friend ban jayega.
  • Iske baad aapko navigation bar pe jo icon dikhega wo haimessage notification. Iska matlab hai ki agar koi aapko Facebook pe sms karta hai to aapko is icon pe notification mil jayega. Simply icon pe click kare ye dekhne k liye k aapko kisne sms kiya hai.
  • Message notification k baad aapko ek gol icon ka image dikhega. Is icon pe click karne pe aapko sabhi new updates mil jate hai. Yane agar koi aapke kisi photo ko like karta hai ya kisi photo pe comment karta hai to aapko iss notification icon ki madat se pata chal jata hai.

Facebook pe photo aur status upload kaise kare ?

  • Agar baat ati he facebook use karne ki tarike ki to status aur photo share karne ka tarika bhi aapko batana jaruri he. Dosto, status share karne ka matlab he ki apne man ki baat facebook friends se share karna. Yaha aap kuchbhi likh sakte he jo aap chahte he ki log jane. Status share karne k liye niche diye steps ko follow kare.
Sabse pehle apne Facebook profile pe jaye. Niche aapko ek box dikhega jiske upar kuch options dikhenge jese status, photo, life event. Now box pe aapko jo bhi likhna he likhe. Likhne k baad niche post k button pe click kare. Click karne k baad aapki status post ho jayegi aur aapke friends use dekh bhi payenge.

status post kaise kare
 
Aab aapko status kaise post kare ye aa gaya hai. Niche dekh le ki Facebook par photo share ya upload kaise kare.
  • Facebook par photo upload ya share karna bohot asan hai. Sabse pehle apne profile pe pe jaye. Profile pe aapko niche ek box dikhega STATUS BOX. Status box k upar aapko PHOTO/VIDEO ka ek option dikhega. Iss option pe click kare. Fir aapko upload photo/video ka ek option dikhega. Iss option pe click kare aur apne computer se jo bhi photo share karna ho select kare aur OPEN pe click kare. Photo open hone k baad upar box pe kuch likhna ho to likhe aur POST k button pe click kare. Kuchi seconds k andar aapki photo facebook pe share ho jayegi.

Facebook par chatting kaise kare ?

Friends, agar aap computer ya laptop se Facebook karte hai to chatting karna bohot hi assan hai. Kyuki iske liye aapko jyada kuch nahi karna hota hai.
Facebook pe chatting karne k liye aapko Facebook k right hand side pe  kuch friends k name dikhenge. Inn name k sath aapko green color ka chota gol sign dikhega. Iss green gol sign ka matlab hai k ye sab log aapke sath chatting karne k liye online hai.
Facebook pe chatting kare

Aab aapko jiske sath bhi chatting karna hai uske name pe click kare. Click karne k baad apke screen pe ek chota sms box nazar ayega. Iss box ko chat box kehte hai. Isse aap kisi se bhi chat kar sakte hai.
Facebook kaise chalaye

Iss box pe koi bhi sms likhe aur send karne k liye ENTER ka button dabaye. Enter press karne par aapka sms bhejne wale tak pohoch jayega. Agar aapka dost online hai to wo bhi apko reply karega.

Facebook android mobile par kaise chalaye ?

Facebook use karne ka tarika to aapko shayad pata chal gaya hoga. Lekin aajkal jyadatar log mobile pe hi ise chalate hai. To, mobile par facebook kaise chalaye ye janna bhi jaruri hai.
Sabse pehle aap mobile se google playstore pe jaye. Playstore se facebook ka app download kare aur install kare. Install hone k baad simply app ko apne mobile se open kare aur apna login details bhare aur login kare.
Login hone k baad aapko khud hi samajh a jayega k ise chalate kaise he. Kyuki ye bohot hi asan hota hai aur computer ki tarah same hi hai.

No comments:

Post a Comment

Featured Post

6 best tarika Facebook ke hack karne ke 2017

Y e to sabhi log jante aur samjhte hi honge ki facebook kitna popular ho chuka hai ,facebook ne college students even other people ke l...