Paytm Payment se Cashless Transactionse Paise Send aur Recieve kaise kare, India me bahut saare logo ko online payment karni nahi aati. Ab jab 500 aur 1000 ke note band ho chuke hai, toh Online Money Transfer hi hai. jiski maddad se hum payment kar sakte hai. Toh isliye Online payment karna in dino bahut jaruri ho chukha hai. Toh is liye Aaj hum Paytm Online Wallet se Payment karna seekhenge.Paytm se payment karne se pehle aapke paas Credit/Debit card Ja fir Net Banking honi jaruri hai. Jiski maddad se aap Paytm E wallet me money add kar payenge. Agar aap paytm ki maddad se payment Recieve karna chahte hai. toh aapko Credit/Debit card Ja fir Net Banking ki jarurat nahi padhegi.
Agar aap paytm ki maddad se kisi se payment lete hai, toh aap usko Direct apne bank account me Transfer kar sakte hai. Pehle aapko money bank me transfer karne ke liye Processing Fees lagti thi, lekin ab 31st December tak aapko kisi bhi trah ki Processing fees nahi lagegi.
Paytm Se Online Cashless Payment Send Aur Recieve Kaise Kare.
Agar aap kisi ko payment karna chahte hai. Toh sabse pehle aapko E Wallet meMoney Add karni hogi. Uske liye aap neeche likhe steps follow kare.
1. Sabse pehe Paytm App ko Google Playstore ki maddad se download karke Install karle.
2. App install karne ke baad aapko Paytm create new account ja Log In karna hoga.
3. App me login hone ke baad aapke samne “Add Money” name ki ek option hogi uspar click kare.
5. Add money par click karne ke baad aapke samne payment ki ek option aayega. usme pucha jayega. aap kis treeke se paytm me money add karna chahte hai. Aapko Wallet me money add karne ke 3 Option milegi. Debit card seCredit Card se aur Net Banking se.
Jaise maine upar bataya tha ke paytm me money add karne ke liye aapke pass yeh 3 cheeze me se koi bhi ek cheez honi chahiye. Agar aapke paas Debit/Credit card ja fir net banking nahi hai. Toh aap bank me ja kar iske liye Apply kar sakte hai.
6. Fir aap jis treeke se money add karna chahte hai. toh aap woh option select kare. Example Maine jaise Debit card se money add karni hai. toh main Debit card wali option ko select karunga. Waise hi agar aap net banking se money add karna chahte hai toh aapko Net banking wali option select karni hai.
7. Debit card ki option select karne ke baad aapko apne cards ki kuch detail fill karni hogi. jaise Card Number, Account Holder Name, CVV aur Expiry Date uske baad aapko “Pay Now” par click karna hai.
8. Fir aapke Register mobile number par bank ki taraf se OTP Jani One Time Password aayega. Jisko aapne paytm aap me enter karke ok karna hai. uske baad aapke Paytm wallet me Money Add ho jayegi.
Dosto Paytm E – Wallet me Money Add karni toh aapna seekh liya hai. Ab paytm se kisi ko payment karna jani money transfer karna bhi seekh lete hai.
Paytm Payment Se Online Money Transfer Kaise Kare.
Paytm me paise Transfer karne ke 2 options hai. 1st. Paytm wallet me Money Send karna. 2nd. Bank Account me money Transfer karna.
Sabse pehle hum 1st option ki help se paytm wallet me paise transfer karna seekhenge. Toh chaliye jaante hai.
Fir aapke samne QR code aur Mobile No. yeh 2 options aayenge. Jisko aap payment karna chahte hai. Agar uske paas QR Code hai toh aap simply 1st option ki maddad se QR code scan karke usko payment kar sakte hai.
Agar uske paas QR code nahi hai. Toh aap uske Paytm par Registered Mobile Number enter karke usko paytm payment kar sakte hai. Payment usko paytm ke wallet me us hi samay mil jayegi.
Paytm se Bank Me Money Transfer Kaise Kare.
1. Amount Enter kare. Matlab jitne paise send karne ho woh enter kare.
2. Bank Account Number Enter kare.
3. “IFSC Code” Enter kare.
4. Yeh paise kis liye hai yaha par likh sakte hai. waise isko khali bhi rakh sakte hai.
5. Last me Send par click kare. Aapke paise Bank Account me send ho jayege.Dosto last me main sirf itna kehna chahuga ke aap sab is post ko jyada se jyada share kare, ta jo hamare desh me log online transaction karna seekhe. aur hamare desh ko cashless ban ne me help ho sake.
Agar aapko Paytm Payment Online karneme kaise kare post achi lagi ho, aur is post se related aapke mann me koi bhi sawaal ho toh aap neeche comment ke jariye bata sakte hai. Main aapki puri maddad karunga.
No comments:
Post a Comment