Paytm Bank Kya Hai Aur Isme Account Open Kaise Kare: Kal jani 23rd may ko paytm ne apna paytm payment bank launch kar diya hai. Aaj hum is article me usi ke baare me baat karenge. Agar aapke dimag me paytm wallet aur bank ko le kar koi bhi confusion hai. toh aap yeh article read karke us confusion ko door kar sakte hai.
Dosto sabse pehle main aapko bata du ke paytm wallet ek alag cheez hai, aur paytm bank alag internet par maine bahut logo ko dekha hai jo keh rahe hai ke aapka paytm wallet bank me convert ho jayega. Dosto aisa kuch nahi hai. Jab tak aap paytm bank ke liye apply nahi karte, tab tak aapka paytm wallet bank me convert nahi hoga.
Paytm Bank Kya Hai ?
Dosto aapko pata hoga ke paytm ek online e wallet hai. Magar paytm is online wallet ko ek bank me change karne ja raha hai. Jisme aapko bahut saare benifits milenge. Agar aap paytm bank me account open karna chahte hai, toh aapko pehle eKYC dena padega. Paytm ne kaha hai ke woh poore desh me apne centre open karega, aur aap un centre par ja kar eKYC de kar apna bank account open kar sakte hai.
Paytm Bank Ke Benifts
- Agar aap Paytm bank me 25000 rupaye jama karwate hai, toh aapko 250 rupaye ka cashback milega.
- Another bank me money send karne par koi bhi charges nahi lagega.
- Aapko paytm bank me 4% interest milega.
- Debit Card, Net Banking aur Mobile Banking jaisi Facility milegi.
- Transaction limit 1 lakh tak hogi.
- zero balance se bhi account khulwa sakte hai
Abhi paytm bank sabke liye open nahi hai. Abhi iski veta version me testing chal rahi hai, aur yeh sirf paytm ke employees ke liye available hai. Agar aap bhi paytm bank use karna chahte hai, toh aapko sabse pehle paytm ki taraf se invite lena padega. Invite lene ke liye aap neeche likhe steps follow kare.
Paytm Bank Me Account Open Kaise Kare
1. Sabse pehle aap paytm par login ho jaye, aur fir paytm.com/bank par visit kare.
2. Ab aapke samne Paytm Bank ka ek page open hoga. usme Request an Invite par click kare.
3. Iske baad next page par done par click kare.
Fir jab paytm is bank ko aam logo ke liye open karega, toh aapko ek invite milega. jiski help se aap paytm bank me apna account open kar sakte hai. Iske liye aapko apna eKYC dena jaruri hai.
Jaise hi mujhe paytm ka invite milta hai, toh main aapko aage aane wale steps ke baare me bhi isi post me bata dunga. toh tab tak ke liye aap is process ko karke invite ke liye request kar sakte hai.
Jo log sirf paytm wallet ko hi use karna chahte hai, toh woh kar sakte hai. Aapka account bank me tab tak convert nahi hoga. Jab tak aap is proccess ko follow nahi karte.
Aapko Paytm Bank Kya Hai Aur Isme Account Open Kaise Kare article acha laga toh isko share jarur kare, aur agar abhi bhi aapke mann me koi confusion ho toh aap neeche comment karke bata sakte hai.
No comments:
Post a Comment