Blogger par template upload kaise kare ? ye sawal shayad aapke liye naya hai. Kyuki, bohot se new blogspot blog owners ko ye pata hi nahi k eisa bhi koi feature he jisse hum templates ya themes ko blogger par upload kar sakte he Jisse humari blog stylish aur attractive ho jati he.
Humne bohot se blogs dekhe he jo blogger k platform par bani he aur jinke style aur looks bohot hi achi hoti he. Aajkal Jyadatar, WordPress ki tarah high quality themes blogspot blogs par bhi use hote he. But, sawal ye he k log itne stylish, high quality, mobile responsive aur seo friendly template kaise use karte he ? Kaha se late he ?
Iska jawab he bahar se themes ya template ko download karke use apne blog par upload karna. So, Iss post par hum aapko batayenge k apne blogspot ya blogger website pe theme ya template bahar se kaise upload kare aur kaise blog ko behtar aur stylish look de
Blogger par template upload kyu kare
Dosto, aap ye jarur soch rahe honge k bahar se themes ko upload kyu kare ? isse kya faida he. To, agar faide ki baat kare to bohot se he.
Aap ye to jante hi honge k hume apne blog k liye fast, mobile responsive aur user friendly, stylish theme use karna chahiye. Kyuki, ye tino hi chize SEO k liye bohot hi jaruri he.
- Blog fast open hogi to logo ko bhi apki site use karke acha lagega. Sabse bari baat he k Google fast blogs par jyada dhyan deta he. So, agar apne blog ko Google search par achi rank deni he to blog ki loading speed par dhyan de. Iske liye pehle koi lightweight aur simple theme chune.
- Mobile responsive themes to aaj k jamane me sabse jaruri chiz he. Maan lijiye k koi aapke blog ya website par kisi mobile se visit karta he. Visit karte hi uske mobile par aapki blog full size par open ho jati he. Iska matlab jese computer par open hoti he wese mobile par bhi display hona. To aap hi soche us visitor ko kitni pareshani hogi blog par articles ko parne me. Sabhi chizo ko zoom karke dekhna hoga kyuki mobile screen choti hoti he.
Isiliye, mobile responsive themes k istemaal se hum apne blog ko kisi bhi screen size k liye behtar bana sakte he. Isse aap site ko smartphone, tab ya computer jaha bhi khole wo screen size k hisaab se adjust ho jati he.
Ye ek achi user experience k liye jaruri he take aapke visitors ko koi taklif na ho. Sabse bari baat he Google search engines bhi mobile responsive blogs ko jyada pasand karta he. To humesha apne blog k liye responsive themes/template hi chune.
- Finally, design aur style bhi jaruri he ek professional looking blog k liye. Humare websites par jitne bhi visitors aate he un sabhi ko hum attract kar sakte he apne blog k design se. Simple but stylish aur clean layout, color, widgets, social share buttons etc se hum blog ko attractive bana sakte he.
Internet par search karoge to aapko dhero free blogger templates mil jate he jo high quality, stylish, mobile responsive, seo friendly aur fast hote he. Isile jyadatar blogger blog owners bahar se themes ko download karke use apne site par use karte he. Yehi he main reason jiske liye aapki blog itni simple dikhti he aur dusro ki itni stylish.
Wese, blogspot dashboard par bhi hume bohot se templates milte he jinka hum istemal kar sakte he. But, jab baat aati he stylish blogger themes ki tab internet par aapko hazaro mil jayenge. In themes ko hum upload karke apne blog ko perfect look de sakte he. So, agar blogger hume ye feature de hi raha he to iska faida to jarur uthana chahiye.
Blog par new theme kaise lagaye
Friends, aapko ye to pata chal gaya he k blogspot ya blogger pe new optimized template lagane k faide kya he. Chaliye ab hum ye jaan le k ispar themes ko upload kaise karte he.
Step 1:
Sabse pehle to aap Google search par blogger k liye free themes search kar le. Search karne k baad aapko bohot se results milenge. Ayehuwe results mese kisi bhi ek website par jaye aur jo bhi theme aapko pasand ho use apne computer par download kar le. (Download karne k baad file location ko yaad rakkhe take upload karte samai dhundna na pare.)
Step 2:
Now, apne Blogger dashboard par login kare aur niche TEMPLATES k button par click kare.
Template k button par click karne k baad aapko apni blog ki theme dikhegi. Simply upar k taraf right hand side par BACKUP/RESTORE ka ek buton dikhega jise aapko click karna he.
Step 3:
Ab ek page khulega jahase hum apne present theme ko download ya new theme upload kar sakte he. Hume sirf new template upload karni he so hum niche upload karne k option ko chunenge.
Upload karne k liye simply “upload a template from a file on your hard drive” line k niche CHOOSE FILE k button ko click kare.
Step 4:
Now, ek box open ho jayega jaha se aap apne download kiye huwe template ko select kar sakte he.
Template ko select karne k baad box k niche open par click kare. (Dhyan rakhiye k aapki template ki file type .xml hona jaruri he).
Note: Jyadatar themes download karne k baad zipped hoti he jise win rar jese software se extract karna jaruri he. Extract karne k baad aapko folder k andar template ki xml file mil jati he. Isi xml file ko hume select aur upload karna hota he.
Step 5:
Theme ki xml file ko select karne k baad simply UPLOAD k button ko click kare.
Step 6:
Kuch hi samai baad aapki new stylish template upload ho jayegi. Iss new template ko aap apne live template preview par dekh sakte he.
Congratulations, now aapne ye sikh liya he k blogger pe stylish themes kaise lagate he. Agar aap apne theme ko edit karna chahte he to CUSTOMIZE k button par click kare aur apne hisab se edit kar le.
No comments:
Post a Comment