Kya aapko bhi new HD movies download karna hai ? Kya aap bhi latest new HD videos apne mobile par download karna chahte hai ? agar han, to me aaj aapko iska ek baria solution bataunga. Wese to videos aur movies downloading k liye aapko google par bohot se website mil jate hai. Lekin, jab baat aati he HD videos aur movies download karne ki tab YouTube aapke bohot kaam aa sakta hai.
YouTube me hazaro lakho videos aur movies available hote hai. Jab aap website ko open karte hai tabbhi aapko sare latest videos dikh jate hai. Sirf itna hi nahi, aapko jo bhi video ya movie download karna ho use YouTube par search kar sakte hai. Video ko search karne k baad aapko apne search se related dhero hazaro results milte hai jinmese aapko jo bhi pasand ho use online live dekh sakte hai.
Wese, YouTube ne officially videos ko download karne ka koi option/feature nahi diya huwa hai. But, wo kehte he na “every problem has a solution“. Ese hi iss problem ka bhi ek bohot bariya aur simple solution mere paas hai.
To chaliye niche hum YouTube se videos aur movies download kaise kare iska tarika jaan le. Wese ye tarika me mobile se hi karke bataunga. Isse aap mobile se hi koi bhi movie download kar payenge.
Mobile me videos aur movies download kaise kare
Jesa k mene pehle hi bataya hai k videos/movies ko download karne k liye hum YouTube ka istemal karenge. Isse aap new Hindi, English, Tamil etc koi bhi movies ya videos HD, mp4, 3Gp, AVI jese bariyah formats par download kar payenge. Aur sabse bariya baat ye he k videos ko download karne k liye hume kisi extra software ki koi jarurat nahi hogi.
YouTube se video downloading ka tarika
Step 1:
Sabse pehle aapko apne mobile par YouTube Android app ko install karna hoga. Aap ko install karne k liye aap Playstore par jakar download kar sakte hai.
Step 2:
YouTube mobile app ko download karne k baad simply use open kare. Application ko open karne k baad aapko YouTube ka home page dikhega. Home page par bohot se videos ya movies dikhenge. Aap koi bhi video ya movie chun sakte hai download karne k liye.
Note: Agar aap kisi dusre video ya movie ko dhundna chahte hai to upar search box par uss movie ka name likhe aur search kare.
Ab simply jis kisi video ko download karna hai use click/select kare.
Step 3:
Ab aapne jis video ko chuna hoga uska ek preview page dikhega. Yane chuna huwa movie ya video load hone lagega online play hone k liye.
Jab video load ho jaye online play hone k liye tab aapko video screen k upar k taraf ek arrow button dikhega. Aapko simply uss arrow botton par click karna hoga. Isse aapko video ke URL link ko share/copy karne ka option milega.
Note: Arrow ya share button video chalne k dauran hide ho jata hai. So, button ko display karne k liye pehle apne YouTube video screen pe tab kare. Tab karne k baad aapko upar sare video option/buttons dikh jayenge.
Step 4:
Video se Arrow button par click karne par next ek page dikhega jisse aap video ko bohot se apps ya social sites par share kar payenge. But, hume share nahi karna hai.
Hume simply page k upar dikh rahe “Copy link” k button par click karna hai. Isse chune huwe video ya movie ki link aapne mobile par copy ho jayegi.
Generate the YouTube video or movie downloading link
Ab humne bari asani se apne pasand ke video/movie ki link ko copy kar liya hai. Now, hume apne video ka download link chahiye hoga jisse hume use mobile par download kar sake.
YouTube video k download link ko pane k liye niche diye final steps ko pura kare.
Step 5:
Now, aapko apne mobile browser se ek website par jana hoga. Is website ka name hai “www.savido.net“. Ye ek esi website hai jisse hum kisi bhi YouTube video ko convert kar uske download link ko paa sakte hai. Simply kahe to ye ek online YouTube video downloader hai.
Step 6:
Savido ke website par jane k baad aapko site k home page par ek box dikhega. Iss box k upar “paste the URL address of the video or song” likha rahega.
Ab simply, humne jis video/movie ka URL address copy kiya tha us URL link ko iss box par paste kare. URL link ko paste karne k baad simply nicheDOWNLOAD k button par click kare.
Step 7:
Download button par click karne par aapko apne chune huwe video ya movie ko download karne k liye niche kuch options dikhenge.
Simply apna download option chune. Agar aapko HD video download karna ho to aap HD mp4 format ko chune. Agar aapko standard mp4 format chahiye to niche 640*360 mp4 wala video format chune.
Now simply jiskisi video format ko download karna ho uske saamne dikh rahe DOWNLOAD link par click kare.
Step 8:
Congratulations, ab aapki YouTube movie ya video mobile par download hona shuru ho jayega. Video download hone k baad use open kare aur maze se dekhe.
Final words on post
Friends, iss post mene aapko bataya k YouTube se videos aur movies download kaise kare mobile ki madat se. Is tarike ko aap apne mobile se hi apply kare aur mobile par hi video ko download kare.
Aap YouTube mobile app par kisi bhi movie ko search kar sakte hai. Agar wo movie available he to aapko search results par dikh jayegi. Next aap iss post par bataye huwe tarike se use download kar sakte hai.
No comments:
Post a Comment