Dosto, hum sabhi ke ghar me bohot se unused purana saman hota he jo hum use nahi karte aur jinhe hum bechna chahte hai. But, problem ye hoti he k hume old second hand saman kharidne k liye koi kharidar nahi mil pata. Isse sare k sare unused products ghar pe hi bekar pare rehte he. So, agar aap bhi esi koi situation me he aur aapko bhi apni sabhi unused purana saman bechna hai to aaj ki ye post aur internet aapki madat karega.
Ji han, internet ek eisi technology he jo hume sumare sare mushqilo ka samadhan de sakta hai. Technology aaj itni aage barh chuki he k shopping karne k liye bhi hume online bohot se websites mil jate he. Inn websites k jariye hum ghar baithe online A to Z sare chize order kar sakte he. Yaha sabse bariya baat ye he k aap apne computer/mobile se koi bhi product dekh ya pasand kar sakte he.
Apko online shopping websites par dhero hazaro verity mil jati he. Sirf itna hi nahi jo products aapke local stores par nahi milti wo aapko online stores par mil jayegi.
Aap soch rahe honge me online shopping websites k bare me baat kyu kar raha hun. He na ? Me isiliye online shopping sites k bare me bol raha hun kyuki aaj hum second hand saman bechne k liye eisi hi online websites k bareme baat karenge. In websites ke naam he
aur . But iss post par hum OLX ke bareme baat karenge.Olx kya hai ? yaha second hand saman sell kyu kare
Olx ko bhi aap online shopping site keh sakte he. Kyuki, yaha aapko dhero products milenge jinhe aap asani se kharid sakte he. Saman kharidne k liye aapko sirf bechne wale se thora bohot baat karna hai jisse product ki price aur delivery location thik kar sake.
But, main baat ye he ki yaha aapko new products nahi milte. Ji han, Olx ki website par aapko hazaro lakho products kharidne ko milte he jo second hand hote he. Apke aur mere jese log is site par apne sabhi used purane saman ko bech ya kisi se second saman kharid sakte he. Simply kahe to , agar aapko apne old saman sell karna hai ya koi bhi second hand chiz purchase karna hai to OLX sabse best option he.
Is website par aapko bohot hi jald ache daam dene wale kharidar mil jate he. Kyuki, ye ek online website he jaha daily hazaro log aate he kuch na kuch second hand product kharidne k liye. Aapko sabhi kharidar aapke location ke hisab se milti he. Yane agar aap Delhi me kuch bechna chahte he to aapko Delhi ke hi kharidar mil jayenge.
Olx par hum kya bech sakte he ?
Agar saman bechne ki baat kahe to hum yaha kuch bhi bech sakte he. Ji han kuch bhi. Aap chote se chote products jese, books, pen-drive, speaker, software, games jese sabhi chize sale kar sakte he jo aap use na karte ho. Aur, agar bare products ki baat kahe to, car, TV, fridge, bike jese purane saman sell kar sakte he. Ye sab mene sirf example di he. Apko jo bhi bechna ho aap OLX par use ads de sakte he.
Halhi me mene apni purani computer bechne k liye olx k website par ek advertisement dali thi. Mujhe sirf do din me minimum 6 se 7 customer mil gaye the jo meri pc kharidna chahte the. In mese ek se mene apni price fix ki aur apne computer ko sale kar diya.
Apni computer ki ad dalne k baad mujhe sabse bariya baat ye lagi, jabbhi koi meri pc kharidne me interested huwa hujhe ek sms / chat notification mil gaya. Isse mujhe turant hi pata chal jata tha ki koi meri pc kharidna chahta hai aur mujhse baat karna chahta hai. Isse apne olx account par login karne k baad mujhe chat box par kharidar se chatting karne ka bhi option mil gaya.
So, simply aap apne account se kisi bhi kharidar se online chatting kar sakte he bina phone number diye. Apke aur kharidne wale k bich sab kuch thik hone k baad delivery location chune aur saman ko bech de. Is tarah aapko bhi kisi bhi saman ko bechne k liye dhero customer mil jayenge.
Olx par online purana saman kaise beche ?
Friends, agar jald se jald koi bhi purana second hand saman bechna hai to aapko Olx ki website par ek free advertisement post karna hoga. Ad post karte samai aapko apne old product ki ek photo aur product k bareme thora bohot information dena hoga. Isse logo ko aapke product ke bareme sahi information mil payegi.
To chaliye niche hum online old saman bechne ka pura tarika step by step sikh le.
Select location:
Sabse pehle aap apne mobile browser se
par jaye. Website par jane k baad aapko niche apni location (city) chunne ka option dikhega.
Jesa k aapko image par dikh raha hai aapko apni current location (jagah) box par likhna hai. Isse aapke sabhi ads diye huwe location (jagah) par hi show honge.
Click on sell button:
Apna location yane jagah chunne k baad aapko niche dikh rahe image ki tarah ek page dikhega. Iss page par aapko sabhi second hand saman ki ads dikhenge jo dusre logo ne aapke city/location se post ki he.
Aap simply niche dikh rahe SELL k button par click kare.
Select ad category:
Sell k button par click karne k baad aapko ek dusra page dikhega. Iss page par aapko apne second hand saman ki category chunna hai. Yane aapko jo bhi bechna hai usi hisab se category chune. For example, agar mobile bechan hai to mobile ka category chune.
Dhyan rakhiye, apna product category sahi se chune take apka ad sahi kahridar ke nazar me aa sake.
Product description:
Category chunne k baad aapko next page par aapne purane saman ka details bharna hoga. Sirf details hi nahi aapko product ki minimum ek photo bhi deni hogi take log aapke saman ko parakh sake.
Jesa k aap upar image par dekh hi sakte he, aapko apne product ki category, description par thora details, price box par saman ka price bharna hoga. In sabhi chizo k sath niche location par apna city aur uske baad apna name aur phone number dale.
Note: name aur phone number sahi dale kyuki aglibar olx par loin karne k liye aapko ye number verify karni paregi.
Sabhi details bharne k baad niche POST YOUR AD button par click kare.
Confirm your number:
Jesa k mene aapko bataya hi tha aapko next post ad button par click karne k baad aapki di huwi number verify karni hogi.
Number verify karne k liye aapko apne mobile sms box par olx ke taraf se aye huwe verification code ko upar dikh rahe box par dalna hai. Code dalne k baad CONFIRM button par click kare.
Congratulations, now aapki free advertisement kuch hi samai me live display hona shuru ho jaye ga.
Aapki ad active hone k baad aapko jal hi kuch kharidar se chat sms milne shuru ho jate he. Now, aap simply apne kharidar se chatting karke unse price aur delivery location thik karle. Sab kuch thik thak hone k baad finally apne purane saman ko bech de. So, hai na olx ki madat se sare old purana saman bechna simple aur fast.
Advertisement dalne k baad kya kare ?
Website par apne product ki advertisement dalne k baad aapko tab tak kuch nahi karna hai jab tak koi aapki ad dekh na le aur aapko sms kare. Agar kisi ko aapka saman pasand aya ya koi aapke saman ke upar interested hoga to wo aapko sms bhejega.
Jabbhi koi aapko sms bhejega aapko apne diye huwe phone number par sms mil jayega. Sms milne par aap apne OLX account par log in kare aur chat box par jaye.
Account par login karne k liye aap ad details bharte samai diye huwe apne naam aur mobile number ka istemal kare. Tabhi aap apne post kiye huwe advertisement ke notifications dekh payenge. Iske liye login page se PHONE ka option chune.
Iske baad aapko olx par apna diya huwa phone number aur name dalna hai.
Now, aapke dale huwe phone number par ek code ayega jo next page par verification box dale. Iske baad aap account par login ho jayenge aur MY ACCOUNT link se sabhi ad notifications/chats dekh payenge.
Chat box par aapko un sabhi k messages dikh jayenge jinhone aapko aapke saman kharidne k liye sms ki he.
Now simply apne kharidar se chatting kare aur final price aur delivery location chun fix kar le. Agar aap apna mobile number dena chahe to wo bhi de ya le sakte he.
Ese aap bari asani se apne location/city pe koi bhi purana saman ya second hand product sell kar sakte hai olx website ki madat se.
No comments:
Post a Comment