Dosto agar aap bhi apne computer, laptop ya fir facebook par Hindi me type karna chahte hai to aaj ki iss post se aap Hindi typing kaise kare ye asani se sikh sakte hai. Aaj k iss post par me apko apne computer ya laptop se kaise hindi me typing karte hai ye sikhaunga.
Iss process se aap koibhi Microsoft file jese Microsoft word, excel ya phir note pad par Hindi me likh ya typing kar sakte hai. Agar aapko Hindi me internet karna hai jaise Facebook par Hindi me likhna hai ya fir Google par Hindi me search karna hai to wo bhi kar sakte hai.
Dosto, jyada tar log aajkal English pe hi typing ya fir net browse karte hai. Lekin, bohot se eise bhi log hai jinhe Hindi me bhi likhna hota hai. Mere to bohot se eise friends hai jinhe Google pe solutions bhi Hindi pe chahiye aurFacebook pe bhi Hindi me likhna ya typing karna hota hai. Ye post main unke liye hi likh raha hun.
To dosto jo process me ajj aplogo ko bataunga usse aap koi bhi chiz Google par Hindi language pe likh kar search kar paoge. Koi bhi article Hindi me likhna ho to wo bhi aap ms word pe likh sakte ho. Simply kahe to aap apne computer se aram se Hindi me likh ya typing kar sakte hai.
Aapne computer se Hindi typing kaise kare ? kaise likhe
Friends, ye bohot hi simple tarika hai. Aap hamare pure post ko atche se parhoge to apko samajh aa jayega. Agar aapko bhi Hindi mai likhna hai to niche steps ko atche se follow kare.
Step 1:
Sabse pehle to aap Google search pe jaye aur GOOGLE INPUT TOOLS search kare. Search karne k baad jo pehla link ayega uspe visit kare. Ya fir niche diye link pe bina search kiye direct visit kare.
Step 2:
Google input tool k url pe visit karne k baad ek webste open hoga. Webpage k top left hand side pe dekhe TRY IT OUT ka ek button hoga. Iss button ko click kare aur url pe visit kare.
Step 3:
Try it out k button ko click karne k baad ek naya webpage open hoga. Web page k niche right hand side pe dekhe ek aur button hoga jispe likha hai “FOR YOUR PC DOWNLOAD FOR WINDOWS”. Aab iss download k button ko click kare.
Step 4:
Aab download k button ko click karne k baad dusra page khulega jispe aapko apna language select karna hai aur apne computer k liye wo language file download karna hai. Language select karne k liye aap apne right side pe diye huwe languages se Hindi ko select kare. Hindi ko select karne k baad niche I agree to google terms pe tick kare aur niche download button pe click kare.
Sabse important aur jaruri steps:
Step 5:
Aab download pe click karne k baad computer aapse save karne k liye puchega. Aap save pe click kare. File download hone k baad usse open kare aur install kare. Install hone me kuch hi seconds lagte hai.
Step 6:
File install hone k baad aap apne computer k language icon se Hindi option select kar k Hindi me typing karna shuru kar sakte hai. Language icon aapke computer pe desktop k niche k menu bar k right side me rehta hai. Aap niche diye image se andaza laga sakte hai ki aapko kaha se language change karna hai. Generally desktop k niche start bar k right side pe EN ka symbol hota hai. Iss symbol ko click karne k baad apko language options pe Hindi bhi dikhe ga. Aab hindi pe click kare. Yaad rahe agar aapko hindi me typing karna he to ye step jaruri hai.
Click karne k baad ab aap apne computer ya laptop se asani se Hindi typing kar sakte hai
My view on Hindi me kaise likhe:
Dosto iss process se maine apne computer pe bohot se Hindi article likhe hai aur post bhi kiye hai. Ab jaab aap jaan gaye hai ki computer seHindi language kaise likhe to aapbhi iska laabh uthaye.
Maine apne pc pe Hindi language set karne k baad google pe hindi me search aur facebook pe Hindi typing bhi ki hai jiska image maine niche share kia hai.
Dosto agar aapko mera post atcha laga to niche coment box par coment kare. Ho sake to please iss post ko apne facebook friends k sath share bhi kare.
No comments:
Post a Comment