google-site-verification: google810058f5829fdccf.html Super fast now : phone ka battery charging speed kaise badhye

Tuesday 11 July 2017

phone ka battery charging speed kaise badhye

Kya aapke phone ka battery charging speed slow hai ? agar han, to chinta na kare. Ye common baat he. Kisi bhi Android smartphone ki battery backup jyada nahi hoti. Aur, lagbhag 70 % smartphones ki battery recharge hone me bhi bohot time lagata hai. Iska karan he, mobile pe dhero apps use karna aur jyada samai internet ( 3G, 4G ) ka istemal.
fast battery charging
Android mobile pe jyadatar apps background pe chalte rehte he. Isse, phone ki battery jyada se jyada consume yane istemal hota rehta hai. Aapko lagta he k aapne mobile ko pocket pe ya apne bed par ese hi rakh di he. But, kuch apps, internet etc background pe chalte hi rehte hai aur phone ki battery jald se jald khatam ho jati he. Yehi karan he jisse mobile battery bhi slowly charge hota hai
Ab aap ya mai hum smartphone par apps ya internet chalana to band nahi kar sakte. So jahir he, phone ki battery backup jald hi khatam hogi aur battery recharge hone me bhi time lagega. Isiliye humare pas ek hi chiz karne ko reh jate hai. Wo hai, Android mobile ki battery charging speed kaise badaye iska solution dhundna.
Smartphone par battery charging speed fast karne se hume kuch had tak to madat milegi. Isse, battery low hone par bhi aap jald se jald mobile ko charge kar apne apps ya internet ko wapas use karna shuru kar sakte he.
So, agar aap bhi apne mobile ko fast charge karna chahte hai ya aapki charging speed slow hai to niche diye 3 solutions ka istemal kare. Ye 3 solutions he to bare simple but sach maniye isse aap Android phone ki battery ko jald se jald recharge kar sakte hai. To chaliye hum jyada samai na lete huwe niche mobile battery ko fast charge kaise kare iska solution jaan le.

Mobile battery charging speed kaise fast kare

Dosto mene pehle hi kaha hai ye jo tips me bataunga wo sare bohot simple hai. Aur hona bhi chahiye. Esa to nahi ho sakta k me aapko koi jadu sikha du jisse k mobile ko ek chutki me fast charge kar sake. So, ye humare kuch common steps k upar nirbhar karta hai.
But, me itna kahunga tips ko follow karne se aapki mobile bohot fast charge hogi dusre dino se.
1. Switch off phone while charging
Ji han, aapne sahi suna. Kewal matra mobile ko switch off karke charge dene se aap phone ko 40% tak fast charge kar sakte he.
switch off while charging
Darasal, jab hum phone ko switch off karte hai tab mobile sleep mode pe rehta hai. Yane ek tarah se mobile soya huwa rehta he. Tab hota ye he k smartphone ki sabhi background apps, data connection aur internal process band rehti he.
To jab aap switch off karke mobile charge hone dete hai tab battery sirf charge hota hai. Charging k alawa mobile pe koi function nahi chalne k karan charge ho raha battery use nahi hota. Battery use na hone k karan wo reh jata hai aur jaldi se jaldi refill yane recharge ho jata hai.
Isiliye, jabbhi aapko fast charge karna ho, mobile ko pehle switch off kare uske baad charging e lagaye. Isse smartphone ki battery life bhi achi hoti hai.

2. Turn flight mode on while charging mobile

Wese switch off karna ya flight mode on rakhna almost same hi hai. Fight mode par aap mobile k kuch hi functions ka istemal kar sakte hai. But, network aur connections related chizo ko chorkar.
turn on flight mode
Now, jab network aur connections band rahenge tab battery pe kam pressure parta hai. Jab battery kam use hogi yane uspe pressure kam hoga tab wo jald se jald charge ho jayega.
So, aap phone ko charging me lagane se pehle FLIGHT MODE/AIRLINE MODE on kare. Isse aap phone ko fast charge kar sakte hai.

Use fast battery charging apps

Aaj kal hume Android mobile pe har kisi problem ka ek solution apps k rup me milta hai. Yane, hume lagbhag har problem k liye ek Android app mil jati hai. Aur, inn apps ka istemal karke hum apne jaruri chizo ko pura kar lete he.
Similarly, Android mobile ki charging speed ko fast karne k liye bhi aapko bohot se apps mil jayenge. Ye sabhi apps aapko Google Playstore se free me mil jayenge.

But sawal hai, “kya ye apps sach me kaam karenge”? Kya inn applications ko istemal karke aap apne phone ko jald se jald charge kar payenge ?
Mera jawab he, “yes” jarur kaam karenge. Lekin sabhi aaps kaam ke nahi hote.
Mene personally sirf do apps ka hi istemal kiya hai. Ek hai DU Battery saver , ek Battery doctor aur last Super fast charger 5x.
Upar diye 3 apps aapko sachme battery ko fast recharge karne me madat karegi. Inke istemal se meri smartphone jaldi se jaldi charge ho jati hai.
Wese mene ye sare battery saver and fast charging apps ka istemal kiya hai. But, now sirf Super fast charger 5x ka istemal karta hun. Ye meri bohot madat karta hai.

Super fast charger app se fast battery charge kare

Agar aap phone switch off ya flight mode pe rakhke charge nahi karna chahte to super charger app ka istemal kar sakte hai. Iss application ko start karne se aapke mobile ki sari background process, data connection etc band ho jate hai. Isse phone battery pe jyada pressure nahi hota aur wo charge hone me kam se kam time leta hai.
Kam se kam samai me mobile charge kare
1. Sabse pehle aap mobile se Google Playstore pe jaye. Ab search box par “super fast charger 5x” type kare aur search kare.
jaldi charge karne ka app
Jab aapko app dikh jayegi simply use free me download/install kare.
2. Ab jabbhi aapko apna smartphone charge karna ho aap pehle app ko open kare. App ko open karne k baad simply mobile se charger ya data cable connect kare. Ab aapko application pe START ka ek button dikhega. Simply, START ke button/option par tap/select kare.
charging mode start kare
Start ke button par tab/click karne pe fast charging mode on ho jayega. Isse charrgin bhi fast hone lagega.
To dosto, aajke ye mobile ko fast charg karne ke tarike ya tips the to bohot simple but yakin maniye inse aap normal se 40% jyada jaldi apne phone battery ko charge kar sakenge.
Agar post se related koi sawal ya confussion ho to hume niche jarur comment kare. Agar aapko humari post achi lagi to apne dosto se share jarur kare.

No comments:

Post a Comment

Featured Post

6 best tarika Facebook ke hack karne ke 2017

Y e to sabhi log jante aur samjhte hi honge ki facebook kitna popular ho chuka hai ,facebook ne college students even other people ke l...