google-site-verification: google810058f5829fdccf.html Super fast now : Conference call kare ? call ko conference karne ka tarika

Monday 10 July 2017

Conference call kare ? call ko conference karne ka tarika

Conference call  kare ? call ko conference karne ka tarika kya hai ? ye sare sawal aajkal smartphone users k mind me bohot aate hai. Specially, jab jio jese offers ho unlimited free call ki tab conference calling ka faida uthana to banta hi he. So, aaj iss post par hum conference call kya hota hai aur apne Android mobile se ise kaise karte hai iske bareme sikhenge.
Conference call kaise kare
Note: post k starting me hi me ye clear kar dun. Jyadatar telecom company istarah ke call k liye extra paise charge kar sakte hai. Aapke pas koi unlimited calling pack activate ho tabbhi wo conferencing k liye extra charge le sakte hai. Isiliye, sabse pehle apne telecom company ke customer care executive se call conference related charges ke bareme baat kare aur clear ho jaye.

Conference call kya hota hai ?

Dosto normally hum kya karte hai, apne smartphone par contact number type karte hai aur call button press karte hai. Isse hum bari asani se samne wale se jitna man utna baat kar pate hai.
But, conference call esi ek facility ya service hai jaha hum na kewal do balke 3, 4, 5 ya usse jyada logo se eksath batein kar sakte hai. Yes, aapne sahi suna. Hum ek hi sath 2 se jyada logo ko call kar unse batein kar sakte hai.
Iss call me jure sare log bhi ek sath aapas me batein kar sakte hai. Matlab, jab aapki conference call activate ho jati he tab us call par jure sare log aapse aur call se jure logo se ek sath baat kar pate hai.
So, conference call kya hai ye to aap samajh hi gaye honge. Chaliye ab niche ise karte kaise hai iska tarika bhi jaan le.

Call conference kaise karte hai janiye tarika

Step 1
Call ko conference karne k liye sabse pehle aapko apne mobile se pehla call lagana hota hai. Matlab aap eksath 3 ya 4 logo ko call nahi kar sakte. Aapko ek ek kar logo ko call karna hoga aur unhe conference karna hoga.
To sabse pehle apna pehla call lagaye.
Apna pehla call lagaye
Dhyan rakhiye, jisko aapne call lagaya he wo aapka phone receive kar le tab aapko next step par jana hai.
Step 2
Jab pehla call lagane wala aapka phone receive kar le tab use thora wait karne k liye kahe. Iske baad niche add new call button par click kare aur dusra number dial kare. Ache se samajhne k liye niche image ko dekhe.
New call lagaye
Add a new phone call
Ye add new call button aapko apne phone k caller screen k niche dikh jayega.
Step 3
Add new call button par click/tap karne se aapke phone par contact list khul jayega. Aapko simply jise dusre call pe add karna ho use chune.
Step 4
Ab, jabke aapne call pe dusre caller ko add kar diya hai so pehla wala call HOLD par chala jayega aur dusra wala active ho jayega. Me janta hun aap yaha thora confused ho rahe ho.
second call activate rakkhe

But, ye bohot simple hai. Aapko yaha kuch nahi karna hai. Jesa k aap upar image pe dekh rahe ho –
  • Aapka pehla first call hold par hai.
  • Dusra call activated hai.
Esehi, jab dusra caller aapka phone receive kar le tab aapko next step 5 karna hai.
Step 5
Ab finally, aapko apne first call jo hold par he aur second call jo activated hai dono ko marge yane conference karna hai.

Calls ko conference karne k liye aapko mobile pe call dialer screen k niche ek arrow button dikhega. Ye button press/tab karne par aapke dono calls eksath conference ho jayenge.
Call conference button
Step 6
Congratulations, now conference button par click karne pe aapki calls conference ho gayi he. Now aap 3 o log ek sath call par batein kar sakte hai.
call activated ko chuki hai
Note: Ab isi process ko follow kare aur jyada se jyada logo ko call par add kare aur batein kare. Dosto, aur ek baat ye hai k alag alag Android versions pe call dial screen alag ho sakte hai. But, conference karne ki process sabhi me same hai.
Aapko add new contact button se new contact ya number add karna hoga. Iske baad simply dono calls ko Conference  button ko press karke conference karna hai.
Finally, aaplogo ko conference call kaise kare iska sahi tarika pata chal gaya hoga. Ab khud try kare aur is feature ka maza uthaye.

1 comment:

Featured Post

6 best tarika Facebook ke hack karne ke 2017

Y e to sabhi log jante aur samjhte hi honge ki facebook kitna popular ho chuka hai ,facebook ne college students even other people ke l...