google-site-verification: google810058f5829fdccf.html Super fast now : Mobile hang hone se kaise bachaye – 7 best tips

Monday 10 July 2017

Mobile hang hone se kaise bachaye – 7 best tips

Kya aapka mobile phone hang hota rehta hai ?, kya aap iss hanging problem se pareshan ho chuke hai ?, agar han to aap akele nahi hai is pareshani me. Duniya me lagbhag 85% smartphone users is hanging problem se pareshan hai. But, kya aapko pata hai “mobile hang hona” iska karan hum khud hi hai. Hum bina kisi care kiye apne smartphones ko use karte rhte hai. Isse mobile dhire dhire slow hota rehta hai aur finally phone hanging problem shuru ho jata hai.
mobile hang hone se roke
Jab hum purane dino, old java/Symbian phones use karte the tab hume hang kya hota hai ye pata nahi tha. But, jab humne Android, windows, iso jese OS ke smartphones use karna shuru kiya tab hume pata chala hang hona kis chiriya ka naam hai.
Iska simple reason hai, aajkal k mobile phones jise hum smartphones kehte hai wo Android, windows jese software pe chalte hai. Inn softwares (OS) ko chalne k liye higher hardware capacity ki jarurat hoti hai. Iska matlab jitna jyada RAM, Processor speed, GPU utna fast aapka mobile.
But, jab RAM, processor aur GPU jese hardware configuration ache ho aur firbhi phone hang ho tab kya. Tab baat ati he humare usage ke upar. Matlab hum apne phone ko sahi tarike se use nahi kar rahe. Isse smartphone ko operate karne me problems aa sakte hai. Aur, finally mobile hang hone lagta hai jisse hum pareshani me aa jate hai.
Wese, phone hang hone ka karan bohot ho sakte hai. Lekin agar hum kuch chizo ka dhyan rakhe to iss problem ka solution hum khud hi he.
Iss post me mai aapko mobile hang hone ka karan aur unke solution bataunga. But, ye dhyan rakhe thora bohot hang hona common hai. But, agar aapke phone pe hanging problem jyada hai to niche diye tips ko follow karke mobile ko hang hone se bacha sakte hai.

Mobile hang hone se kaise bachaye – 7 best tips

1. Smartphone pe limited apps use kare
Sabhi mobile phones apne RAM ya processor limit k sath market pe aate hai. Kuch k RAM / processor speed jyada hote hai kuch k kam. So, agar aap apne hardware capacity se jyada phone par apps, games install karoge to phone hang hone k chances jyada hai.
Isiliye, sabhi unwanted apps, games uninstall kare. Isse phone thora halka hoga aur aapka memory space free hoga. Agar aap dhyan se dekhenge, aapko apne mobile par ese apps bhi milenge jinhe aapne mahino pehle install kiya hoga aur aaj tak use nahi kar rahe. So, ese apps turant hi uninstall kare.
Jitna kam apps aap install karenge utna halka aapka phone rahega. Internal storage bhi free hoga jisse mobile fast kaam karega.
2. Unnecessary data (Videos, files, images) delete kare
Aap apne mobile par whatsapp, Facebook jese apps use kar rahe hai to jahir he unme daily images, data ya audio files aa rahe honge. Aur, ye data aur files agar aapke phone ke internal storage pe save ho rahe hai to aap apne phone k hang hone ka karan khud hai.
Simply apne smartphone par ache se check kare. Agar aapko koi bhi unwanted images, files, mp3, audio file etc mile use delete kare. Iske alawa aap jyada se jyada files ko pehle apne computer ya laptop pe copy karke fir apne phone se delete kar sakte hai.
Isse aap jyada se jyada data clean kar sakte hai. Ye sare files aapke smartphone pe bohot jagah khate hai. Isse phone slow hona common hai. Aur, phone hang hone ka bhi ye common reason hai.
3. Android apps ko updated rakhe
Jyadatar log ekbar apps download karne k baad unhe update nahi karte. Isse apps purane hote rehte hai aur uska performance bhi kharab hota rehta hai.
Isiliye humesha apna install kiya huwa apps update kare. Isse aapko app ka new aur latest version milta hai jisse apps fast aur actively kaam karta hai.
App developers humesha apne apps ko behtar aur light banane ki koshish karte hai. Har new update pe wo apps ko behtar banate hai. Isiliye jabbhi update available ho playstore jese app store se apne installed apps ko update kare.
4. Phone ko switch off kare
Jese hum raat ko sote hai apne aap ko refresh karne k liye, wese smartphones ko bhi reactive aur refresh hona pasand he. Isse smartphones ka system restart/reboot hota hai jisse RAM aur Processor fast kaam karta hai. So, jabbhi moka mile apna phone kuch der tak switch off jarur rakhe. Sabse best time hai phone off rakhne ka raat ko jab aap sote hai.
5. Use RAM cleaner apps to clean RAM
Apne mobile par humesha ek app jarur rakhe jo RAM aur system ko clean kare. Iske liye sabse best app hai clean master. Clean master aapko RAM, junk files, unused apps etc clean karne ka option deta hai. Isse aapka phone clean aur halka rahega. Jab RAM aur phone clean aur fast rahega tab mobile hang hona lagbjag kam hi ho jayega.
Yaad rakhiye, jitna jyada mobile ka RAM use hoga utna jyada phone slow aur hang hoga. Aur, maximum apps background me chalrahe hote hai jisse phone slow ho jata hai. Isiliye phone pe chal rahe unwanted running apps ko close kare.
Running apps close karne k liye aap – Clean master lite (boost), AIO Clean, Aast cleanup & boost, smart boost jese applications apne phone par use kar sakte hai.
Agar aap manually bina kisi app k running apps ko close karke RAM free karna chahte hai to ye bhi kar sakte he. Iske liye apne android phone se SETTINGS >> APPS >> RUNNING APPS par jaye.
Running apps list pe aapko sare applications dikhenge jo aapke phone par background me chal rahe hai. Ab aapko jo unwanted apps band karne hai unpar tap/select kare. Select karne k baad STOP par tap/select kare.
Now aapke unwanted background apps run hona band ho jayenge. Isse RAM free hoga aur mobile fast kaam karega. Aur, jab mobile fast kaam karega tab hang hone ka chance nahi rahega.
6. Apps ko external storage (sd card)  pe install kare
70% log apne phone pe apps install karte samai ye dhyan nahi rakhte k app kaha install kaha ho raha hai. Wo ye bhi nahi sochte k isse phone ke performance pe kya asar hoga.
But, isme unka koi dosh nahi. Jyadatar logo ko ye pata hi nahi k by default bohot se smartphones pe jab hum apps install karte hai wo phone k internal storage par save hota hai.
Yane wo app internal store pe jake install ho jata hai. Isse, mobile k internal storage pe kam jagah bach jata hai jo dusre apps ko run hone me problem deta hai. Ye mobile slow hone ka bara reason hai aur isse mobile hang hona common hai.
So, humesha apps ko external storage yane sd card/memory cards par save/install kare. Ye karne se internal storage free rahega aur apps run hone me koi pareshani nahi hogi. Apps fast aur freely run honge to system bhi fast aur hang free rahega.
Apna default app storage location external/sdcard karne k liye – Settings >> storage >> default write disc >> SD card/external storage par select/tap kare. Now phone ka default storage external storage yane memory card/sd card ho jayega. Ab jabbhi koi application insall karenge wo SD card / External storage pe save/install hoga.

Note: Kuch mobiles par ye setting alag jagah pe ho sakte hai. Isiliye aapko thora dhundna par sakta hai. But, settings ke andar hi milega.
7. Antivirus software use kare
Agar aapka smartphone hamesha hang hota rehta hai to iska karan virus bhi ho sakta hai. Mobile pe internet chalana, dosto se file receive karna ye sab aapke phone virus laa sakte he. Aur, agar aapke phone pe virus hai to isme koi shak nahi k aapka phone slow hoga aur hang hota rahega.
Isiliye, apne smartphone par ek acha antivirus app/software install kare. Antivirus aapke mobile ko online virus, malware ya file receive karte samai virus ghusne se bachayega.
Agar aap android smartphone user hai to Google playstore se free Antivirus softwares download & install kar sakte hai. Best performance k liye AVAST, CM SECURITY, KASPERSKY ANTIVIRUS, 360 SECURITY jese antivirus softwares ka istemal kare.
Final words and tips
To dosto agar aapka mobile hang ho raha hai aur aap apne phone ko hang hone se rokna chahte hai to upar diye tips jarur follow kare. Isse aapka smartphone light, fast aur free rahega.
Ye yaad rakkhe k mobile hang tabbhi hoga jab phone slow hoga, internal storage full hoga, RAM jyada use hoga ya koi virus rahega.
So, agar aap internal storage aur RAM free rakhenge, antivirus ke istemal se virus ko nikalenge aur limited apps use karenge to aapki phone hang nahi hogi.
Agar aapko upar diye sabhi tarike jisse phone ko hang hone se roka ja sakta hai pasand aye to apne dosto se ye post jarur share kijiye.

No comments:

Post a Comment

Featured Post

6 best tarika Facebook ke hack karne ke 2017

Y e to sabhi log jante aur samjhte hi honge ki facebook kitna popular ho chuka hai ,facebook ne college students even other people ke l...